Thursday, December 30, 2010

Bazar shaam aa gaya

Bazar e shaam aa gaya

Akbar a.s mere jawan kis ko bulaye Maa
Bazar e Shaam Aa gaya

1)Zainab a.s ki lo khabar Abid a.s hai Natawan
Bazar Shaam aa gaya

2)Dasht e Bala ko chor kar khak e shifa ko orh kar
aye fakhr e kibriya suno kahti hoon haath jorh kar
kaisay chalay gi maa aye mere nojawan
Bazar e shaam aa gaya

3)Qismat ki pasban hai woh khair un nisan a.s ki jaan hai woh
Ghurbat ki inteha huee ghairon kay dermiyan hai woh
Shahzadi e Jinnah sahti hai sakhtiyan
Bazar e Shaam aa gaya

4)Qatil tera mere pisar Sajjad a.s ka hai humsafar
Gham tou yehi hai yeh sitam sahta raha hai woh magar
kaisay sahay bhala beemar sarban
Bazar Shaam aa gaya

5)Mehnay suni hai yeh sada kahtay hain shaam mein sab hi
badla Ali a.s ka lay gaye hum binte Ali a.s say aaj hi
Pather say hain bhari logon ki jholiyan
Bazar Shaam aa gaya

6)Na Mahramon ki bheer mein uth ti nahi nazar meri
Abbas ki kasam nahi tashna labi ka gham koi
dukh hai yeh bay rida sahmi hain bibiyan
Bazar Shaam aa gaya

7)Pala hai jis nay umar bher Akbar a.s tujhay hijab mein
Ghazi a.s kay samnay bhi woh beta rahi niqab mein
Ghairon mein bay rida jati hai Al Amaan
Bazar Shaam aa gaya

8)Nok e sina ko dekh kar dawar yeh kah rahi thi maa
aa dekh tu bhi nojawan madar ka apni imtehan
aankhain na bandh kar ghairat say aasman
Bazar shaam aa gaya

Saturday, December 25, 2010

Ronai Kai Liyai Kaafi Hai Sajjad Tera Naam

Ronai Kai Liyai Kaafi Hai Sajjad Tera Naam
Tu Shehanshahai Dard Hai Batla Rahi Hai Shaam

1) Chala Baikason ka karawan
Beemar hai logo saraibaan
Hai sang sarain ooriyan hai la fatah ki baitiyon
Kerbobala kai dasht main berpa huwa kohraam

2) Mushkil thi bari wo ghari
Derbar main Zainab khari
Shabbir kai lab per chari Sajjad nai pehni kari
Derbar-e-Yazeedi kai larzai thai dar-o-Baam

3) Zainab pukarai bai watan
Bahi hai mera bai qafan
Dai Dai ussai koi qafan merai hathon main bandhi rasan
Hai kaisai suna hoga Beemar nai paigham

Abbas kai percham ko Hawa choom rahi hai

Abbas kai percham ko Hawa choom rahi hai
Lagta hai kai Zahra ki Dua Choom rahi hai

1) Aa dekh Sukaina terai Abbas ka lasha
Derya kai kinarai pai kaza choom rahi hai

2) Yun bhi jhuki jaati hai faza chu kai alam ko
Jaisai kai yeh Zainab ki rida choom rahi hai

3) Ser apna patak ta hai kai naro kai yeh pani
Ye arsh ko matam ki sada choom rahi hai

4) Behtha huwa pani hai kai Abbas kai ansoo
Mashkizai ko ummat ki jafa choom rahi hai

5) Ser chum kai ghazi ka kaha ibnai Ali nai
Abbas kadam terai wafa choom rahi hai

Beemar ki aankhain hain Akber teri rahon per

Beemar ki aankhain hain Akber teri rahon per
Deewarain bhi rotin hain Sughra ki karahon per

1) Sughra nai kaha muj ko aik baar jo mil jai
Ser apna main rakh dun ki bahiya teri paaon per

2) Kyun bhool gayai bahiya Sughra ki khata kya hai
Awaz nahi daitai Kyun meri Sadaon per

3) Wo khud hi samajh lai gi hai mara gaiya bahi
Dekhai gi nishan jis dam Zainab teri bahon per

4) Dekha kai lahu main hai dhooba huwa sab kunba
Kya khaab utar aaya Sughar ki nighahon per

5) Piyasai rahai jab Akber barsi na ghata koi
Afsos karai dunya ab aisai ghataon per

6) Hai dhoop main jis din sai lasha Ali Akber ka
Ma ashk girati hai her pairh ki chahon per

Aai chand muharram kai tu badli main chala ja

Aai chand muharram kai tu badli main chala ja
Tujhai dekh kai mer jaayai na beemar hai Sughra

1) Ghar Zehra ka lutnai ki khabar tu nai sunai
Tujhai dekh kai roti hai muharram main khudai
Choda so baras beetai sab kertain hain shikwa

2) Milnai kai liyai bahi ko baichain bari hai
Kab sai Ali Akber ki yeh yahon main khari hai
Bichiri hai yeh mudat say Issai tu na nazar aa

3) Veeran gharaon main na issai neend hai aati
Akber ki judai hai issai khoon rulati
Qadmon kai nishan dhamp kai behti hai sar-e-Rah

4) Gin gin kai to Sughra nai yeh din hain guzarai
Zinda hai to Akber kai wadon kai saharai
Din rat tarapti hai issai aur na tarpa

5) Bahiya ki judai main paraishaan hai rehti
Her roz yeh nana ko ro ro kai hai kehti
Akber na mila nana main mer jaun gi tanha

6) Ronai nahi daitai mujhai raton ko musalman
Beemari sai bai haal hun kuch roz ki mehmaan
Her simt sai hai muj ko ab mout na gehra

Bazaar Mein Ye Zainab , Fizza Se Keh Rahi Hai,

Bazaar Mein Ye Zainab s.a., Fizza s.a. Se Keh Rahi Hai,
Abbas a.s. Ki Behen Ko Har Aankh Dhundti Hai..
Amma Mujhe Chhupa Lo..

Dekha na murtaza na jisko baghair chadar
Na mehramoom mey haaye who agayi khuley sar
khatley hussain sey bhi dushwar yeh ghari hai

Heemat nahi meri kaisey khadam baraoon
Is sher-e-beaam mei khood ko kahan chupaoon
haatoon mei lekhey phathar umatth khari huwi hai

Beemar-e-karbala key aakoon sey khoon hai jaari
yeh sooch kar baadan mei laarza hai uskey jaari
bey parda shamiyon mei beti bathool ki hai



Is Naam Se Hamesha Aayi Hai Mujhko Ghairat,
Paala Hai Tumne Mujhko, Tum Jaanti Ho Aadat,
Bazaar Zindagi Mein Zainab s.a. Kahan Gayi Hai..
Amma Mujhe Chhupa Lo..

Thai Bain Sakina Kai Abbas Nahi Aayai

Thai Bain Sakina Kai Abbas Nahi Aayai
Derya Pai Gayai Aaisai Abbas Nahi Aayai

1) Aisa to na hota tha jab tak thai Medinai main
Kya Kerbobala Aayai Abbas Nahi Aayai

2) Dil wahi thi mainai hi baba sai rida ran ki
Faryad karun kis sai Abbas Nahi Aayai

3) Jis terha sai niklai thai us terha Medinai ko
Kis terha sai lotain gain Abbas Nahi Aayai

4) Aik main hi na thi piyasi bachai bhi to piyasai thai
Kyoon rooth gayai mujh sai Abbas Nahi Aayai

5) Panchi hon ya manus hon her Shaam palatain hain
Kia bat Khuda janai Abbas Nahi Aayai

6) Asbab luta sara khaimain bhi lutai sarai
Dur cheenai gayai merai Abbas Nahi Aayai

7) Beemar bahtiji per nani si bahtiji per
Kia kia na sitam tutai Abbas Nahi Aayai

8) Derbar kiya ???(araish??) aur qaidi rasan basta
Chobees pehar guzrai Abbas Nahi Aayai

9) Keh dai koi Sughra sai ham bhoolai nahi tuj ko
Hab kab kai ghar ajaatai Abbas Nahi Aayai

Baba Teray Ghum Main Yeh Baichain Sakina Hai

Baba teray ghum main yeh baichain Sakina hai.

Zindaan kai andherai main mushkil mera jeena hai.

1) Din raat main roti hun aur khaaq pai soti hun
Aghosh hai maadar ki na baap ka seena hai.

2) Dafna kai Sakina ko Abid nai kaha ro ker
Ehsaas tujai sompa Zahra ka nageena hai.

3) Main ro bhi nahi sakti zindaan main tumhai baba
Paband mujhai karta ronai sai kameena hai.

4) Hai kaan merai zakhmi aur neel tamachon kai
Zalim kai tamachon sai bai-haal Sakina hai.

5) Abid nai kaha ro ker Zainab sai puphi amma
Haar zulm-o-sitam sehna is ghar ka kareena hai.

6) Kartai hain bapa matam dunya main shah-e-zeeshan
Momin kai liyai irfaan bakshish ka saveena hai.

Abh Bhi Aati hai Sakina Ki Sadain Logon

Abh bhi aati hai Sakina ki sadain logon, Hy zindaano say

Meray Baba ko mila do, main duaain dun gi, Siskian lay kai jo kehti thi musalmano say.
1) Bolay Sajaad Sakina, yeh muqadaar tera (x2)
Bay kafan tujh ko liyai phirta hun bazaron main
Aur lahu aaj bhi jaari hain teray khaano say.

2) Ja Kai Maqtal Main Pukaari, Yeh Sakina roo kaar (x2)
Bhaiya Qasim meray Akber, tum kahan ho saarai
Meray baba ko bacha lo aakai shaitanon say.

3) Jab chalee ghar say teray saath sabhi thay Zainab (x2)
Awn-o-Muhammad-o-Akbar yaad atay hongay
Laut kay aatee jo hogee tu qaid khaano say.

4) Labay dariya say Alamdar ki aayi yeh saada (x2)
Ay Sakina tujh sai shaarminda hain chacha tera
Paani phoncha na saka hy katay shaano say.

5) Aat azaan bayak waqt, fazah main goonji (x2)
Sani-e-Zahra kai khutbon ko dabanay kay liyai
Shor barpa kiya darbar, main azaano say.

6) Qaimay Alay Muhammad yeh hay Akhtar kee dua (x2)
Sacha Hasnain ka hai maula sadayay matam
Kis tarha hashar talak goonjay azakhaano say.

Ya rab koi masuma Zindan main na tanha Ho

Ya rab koi masuma Zindan main na tanha Ho
Paband naho aaain X2 Ronai pai na pehra ho

1) Thi jis ko neend aati Shabbir kai Seenai per
Zinda Dar-e-Zinda ukai liyai Kazaa ho

2) Zindanon sai aati tih awaz sisaknai ki
Jaisai kai Sakina ko her zindaan ro raha ho

3) Takrai na woh kyun ker Zindan ki deewaron sai
Bahi sai aur puphi sai Jisko juda kiya ho

4) Zindan main ai najafi yad aayi Sakina Ki
Dil ro ro keh raha Hai Ab na ujala ho

Amma Fizza Bata Dai Muj Ko, Pathar Kyun Aa Rahai Hain

Amma Fizza bata dai muj ko, pathar kyun aa rahai hain.

Kehsa hai yeh charaghaan, dil dubhai jaa rahain hain, kya Shaam agaya hain.

1) Nayzai peh jitneh sar hain, ik saar hai un meh aisaa
Ankhain hai band uskee, aur khaak paar hai girtah
Abbas kah yeh saar hai, taiwar bahtareh hain hai, kya Shaam agaya hain.

2) Aya joh babeh saatir, rohkeh gayeh musafir
Kehetah tah Shimaar in koh, kurnah abee na haazir
Darbar koh abee hum, dulhan bana rahain hain, kya Shaam agaya hain.

3) Maaon kee godiyon seh, Lipteh hoonweh hai bucheh
Hai haat rasioon main, Maaon keh ehseh juckureh
Bachai joh gir rahain hain hai, Woh martey jaareh rahain hain, kya Shaam agaya hain.

4) Honai lagee azaanai, kaisai saron’ koh dampeh
Baazoo bundeh hoonwain hai, khoon roh rehee hain ankhain
Ankhoon keh khoon seh rastay, khoon meh naha rahain hain, kya Shaam agaya hain.

5) Hain lohg kistaraah keh, hum seh duan kura-ain
Eh qaidio dua doh, yeh din nah hum peh aayeh
Leh kar dua-ain hum seh, dil be dukhaare hain hai, kya Shaam agaya hain.

6) Itnah chuleh hain pehdal, kantoon peh sahreh qaidi
Thuk jaati chalte chalte, chalti aghar zameen bee
Pehron keh aab-leh bee, aansoon baha rahain hain, kya Shaam agaya hain.

7) Rayhan qaidioon meh, burpah tha shor giriyaah
Balkon seh karahee tee, matam joh Bint-e-Zahra
Sajaad noha khan hain, noha suna rahain hain, kya Shaam agaya hain.

Woh Dekho Pani Aaraha Hai

dekho alam hai dariya se aata
ab na rahe ga koi bhi pyaasa
parcham hawa main lehra-raha hai
wo dekho pani aaraha hai

......wo dekho pani aaraha hai
boli sakina(a.s) nazdeekh aao
ae pyaase bachon kuze uthhao
baba chacha ko ghar laraha hai
......wo dekho pani aaraha hai

jo sab se chota ghar main hai bachcha
pehle usie ko pani mile gaa
asghar hai pyaasa ghabra-raha hai
......wo dekho pani aaraha hai

ji bhar ke tum sub pani ko peena
aakhir main sub se bali sakina(a.s)
pani piye gi waada raha hai
......wo dekho pani aaraha hai

halqa bana lo kuze uthha lo
so sogae hain un ko jaga lo
khud chal ke dariya ab aara-raha hai
......wo dekho pani aaraha hai

kehte thhe aada pani na dain ge
khush ho ke ab hum pani piyenge
lashkar-e-yazeedi sharmaraha hai
......wo dekho pani aaraha hai

dekho zamein par girne na pai
pani chacha hain mehnat se laai
waqt-e-musibat ab ja raha hai
......wo dekho pani aaraha hai

naade-Ali ko mashq-o-alam par
dum karti rehti thhi mae jo aksar
uskaa asar ab rang laraha hai
......wo dekho pani aaraha hai

pani sakina(a.s) tum sub ko dena
baba se lekar mashkiza apna
ghazi ka beta samjha raha hai
......wo dekho pani aaraha hai

aaya alam to boli sakin(a.s)
aey pyaase bachaon mushkil hai jeena
mera ye kehna rulwa raha hai
......wo dekho pani aaraha hai

pani kahan ka ab pyaas kaisi
umeed kaisi ab aas kaisi
mujhko ye jumlaa sharma-raha hai
......wo dekho pani aaraha hai

rehan kaise likhhun wo manzar
bachon se kehte thhe jab situmgar
ab bolo ghazi ghar araha hai
......wo dekho pani aaraha hai

Ai Raat Na Dhalna Kay Ujaar Jaaye Gi Zainab

Ai raat na dhalna kay ujaar jaaye gi Zainab.

Suraj na nikal na kay ujaar jaaye gi Zainab .

1) Ai raat tere dam se sala-mat hai abhi tak
Dhal tay hi tere hashr mein gir jaaye gi Zainab.

2) Ai raat subho ho gi tou kohi na rahay ga
Beemar ko phir lee kay kidhar jaaye gi Zainab.

3) Abid ka gala taukh hai aur paao mein bedi
Bandwa kay rasan Shaam talak jaaye gi Zainab.

4) Shabbir ne ki thi jo nasehat dam e rukhsat
Kyu kar na rasan bazu mein band waaye gi Zainab.

5) Khutb-o se tere kaamp geya shaam ka darbaar
Kirdar tou hai dar hi ka apnaaye gi Zainab.

Ay Khuda Ay Khuda Hay Yehi Aarzoo

Ay Khuda ! Ay Khuda ! Ay Khuda !

Ay Khuda Ay Khuda Hay Yehi Aarzoo
Mein Imam-e-Zamaa ka Sipahi Banoo

Misle Maisam jala kay chiragh-e-wafa
Bhardoon apnay lahoo sey ayad-e-wafa*

Qafila Zuriyat ka Na bhatkay kabhi
Misle Hurr choor jaoon chiragh-e-wafa

Ay Khuda Ay Khuda Hay Yehi Aarzoo
Mein Imam-e-Zamaa(as) ka Sipahi Banoo

Mairay Aqa Ki Janib jo uthee nazar
Cheen loonga un ankhoon sey noor-e-basar
Kaat doonga uss aadmi ki zabaan
barh gaya koi had-e-adab sey agar

Ay Khuda Ay Khuda Hay Yehi Aarzoo
Mein Imam-e-Zamaa(as) ka Sipahi Banoo

Kash jab mein hoon masroof-e-Kaar-e-Ghira*
Maujiza aisa dikhlaye maira Khuda
Dekh kar mujhko alooda-e-Khaak-o-khoon
Khud Imam-e-Zamaan(as) Keh uthein Marhaba

Ay Khuda Ay Khuda Hay Yehi Aarzoo
Mein Imam-e-Zamaa(as) ka Sipahi Banoo

Jab Alam lay kay maqtal ki janib barhoon
Yeh rujuz shaan-e-Mola Ali mein parhoon*
Ghum Nahi hay kay haq goi kay jurm mein
Qatl karday zamana kay phaasi charhoon

Ay Khuda Ay Khuda Hay Yehi Aarzoo
Mein Imam-e-Zamaa(as) ka Sipahi Banoo

Ta ba Anjaam-e-Ghaybat jo mein na rahoon
Ayy Khuda Haq-e-Nusrat ada Yu Karoon
Jab Imam apnay lashkar ko tarteeb dein
Mein bhi Turbat sey labaik kehta uthoon

Daagh Hay Dil Pay Zahra ki Jageer ka
Ghum Hay Aale Muhammad ki Tash-heer ka
Kam sey Kam itni Mohlat Khuda Bakhsh Dey
Badla Mein Lay Sakoon Khoon-e-Shabbir Ka

Ay Khuda Ay Khuda Hay Yehi Aarzoo
Mein Imam-e-Zamaa ka Sipahi Banoo[/QUOTE]

Karbala Mein ajab zulm dhaye gaye
Loota Hay sheh ko khaimay jalaye gaye
Mujrimo ki tarhaa dar ba dar nangay sir
AhleBayt-e-Muhammad Phirayee gayee

Ay Khuda Ay Khuda Hay Yehi Aarzoo
Mein Imam-e-Zamaa ka Sipahi Banoo

Ashqiya zulm per zulm dhatay rahay
Bay sabab taziyaanay lagatay rahay
Khoon rotay rahay Ahlebayt-e-Nabi
Log Jashn-e-Musarrat manatay rahay

Ay Khuda Ay Khuda Hay Yehi Aarzoo
Mein Imam-e-Zamaa ka Sipahi Banoo

Baandh kar aik rassi mein bara galay
Soo-e-darbar-e-shaam ashqiya lay chalay
Koi aisa na tha jo yeh poochta
Khatm Kab hoongay yeh zulm kay silsilay

Ay Khuda Ay Khuda Hay Yehi Aarzoo
Mein Imam-e-Zamaa ka Sipahi Banoo

Karbala dey rahee hay musalsal sada
Muntazir janay kab sey hain ahle wila*
Jald hoo abb zahoor-e-Imam-e-Zamaan
Ayy Khuda Hay yehi aarzo-e-wafa

Ay Khuda Ay Khuda Hay Yehi Aarzoo
Mein Imam-e-Zamaa(as) ka Sipahi Banoo

Fizza Teri Wafa Ki, Had Akhari Yehi Hai

Fizza Teri Wafa Ki, Had Akhari Yehi Hai
Zainab Kai Saath Tu Bhi, Bazaar Main Khari Hai

1) Tu nai to Syedon' ka abaad ghar bhi dekha
Aur kis terha huwa woh, barbaad ghar bhi dekha
Kis nai kissay sataya, tu khoob jaanati hai

2) Jab Hassan ka janaaza, wapis hai ghar main aaya
Farwa kai saath ro ker, Qasim gallay lagaya
Laash-e-Hassan sai tu bhi, rahi teer khainchati hai

3) Baandhi huwi rasan main', Zainab jo shaam aayee
Teri kamar kai peechay, chupti thi Zahra jayee
Har mor pai dilaasay, Zainab ko dai rahi hai

4) Yasrab ki taraf dekhai, ro ro kai Zahra jaaye
Teri betiyon' pai nana, kaisee qayamat aayee
Fizza kai bhi hain' waaris, yahan mera na koyee hai

5) Jab roti thi Sakina, har baar chup karaya
Aur ghash sai paak Aabid, ko tu nai bhi jagaya
Zainab kai saath jhirkain', Fizza bhi kha rahi hai

6) Aal-e-Nabi pai gham ki, bunyaad hai Saqifa
Din raat ab Hassan to, apna yehi wazeefa
Jisnay inhay rulaya, woh shaks lanati hai

Mera Sehrayan Wala Akbar -Shadman Raza

Akbar Mera Sehrayan Wala Akbar
Akbar Mera Sehrayan Wala Akbar

Zakhm Dil Kai Dikhaoon Mei Kaisay
Tera Laasha Uthaoun Mei Kaisay

1)Laash-e-Akbar Pay Shah Jub Pohonchay Dil Ko Hathon Say Thaam Ker Bolay
Teri Furqath Ney Aey Ali Akbar Aag Dil Mei Mere Lagadi Hai
Aag Dil Ki Bujhaoun Mei Kaisay Tera Laasha Uthaoun Mei Kaisay

2)Tu Hai Karyal Javan Aey Beta Baap Tera Zaeef Hai Kitna
Noor Ankhon Ka Hogaya Rukhsath Mujhko Aatha Nahien Nazar Khayma
Laikay Khaimon Mei Jaoon Mei Kaisay Tera Laasha Uthaoun Mei Kaisay

3)Jisnay Athara Saal Paala Tha Kaisay Daikhay Gi Wo Tera Laasha
Teri Shaadi Ka Tha Jisay Armaan Kaisay Jhailay Gi Vo Tera Sadma
Teri Maa Ko Bataoun Mei Kaisay Tera Laasha Uthaoun Mei Kaisay

4)Daikh Aaya Hai Qasid-e-Sughra Raah Thak Thi Hai Vo Dukhi Bhaina
Tujh Ko Beemar Nai Bulaya Hai Vaada Sughra Ka Kyun Bhula Dala
Gham Ye Dil Say Lagaoun Mei Kaisay Tera Laasha Uthaoun Mei Kaisay

5)Bhai Bhenon Ka Hai Ajab Rishta Jis Ka Saani Kahien Nahi Miltha
Kyun Kay Sughra Nai Ye Likha Akbar Aik Dukhiya Ki Laaj Rakh Laina
Margaya Tu Bataoun Mei Kaisay Tera Laasha Uthaoun Mei Kaisay

6)Lutf Jeenai Mei Ub Kahan Akbar Dil Say Uth Thi Hai Ye Fughaan Akbar
Subhay Ashoor Di Thi Jo Tu Nai Khoon Rulaaeygi Vo Azaan Akbar
Tairee Surat Bhulaoon Mei Kaisay Tera Laasha Uthaoun Mei Kaisay

7)Aaisee Ghurbath Mei Moun Nahi Moro Mei Hoon Tanha Mujhai Na Youn Choro
Kya Guzarti Hai Baap Kay Dil Per Ghumzada Dil Ko Youn Nahi Thoro
Apni Ghurbat Bataoun Mei Kaisay Tera Laasha Uthaoun Mei Kaisay