Monday, January 24, 2011

Mera Ghaar Jalaya Lutiyan Ridawan

Mera ghaar jalaya lutiyan ridawan, ro akay Zainab kis pas jawan.

Abid bachawan, ya aag bujhawan (x2) ro akay Zainab kis pas jawan.

1) Yusaf tou sonay meray veer maarey, may shaam chaliyan baykafan saaray (x2)
Kabaran banawan, ya rasiyan pawan (x2) ro akay Zainab kis pas jawan.

2) Meh deen bachawan vich shaam aayi, sab loug veikan meri bay ridayee (x2)
Khutbay sunawan, ya mou lukaawan (x2) ro akay Zainab kis pas jawan.

3) Khaimey’ch Qasim di laash aayi, chum chum kay tukray kavey Zahra jayee (x2)
Hun sehray lavan ya saf vichawan (x2) ro akay Zainab kis pas jawan.

4) Jis veer day laiye chadeya Madina, jiway qatal hoya bhulna kadeena (x2)
Hun kafan pawan, ya shaam jawan (x2) ro akay Zainab kis pas jawan

Monday, January 17, 2011

Ay Nana Teri Ummat Sai Tera Dheen Bacha Kar Layi Hai

Ay nana teri ummat sai tera dheen bacha kar layi hai, tere beghar Zainab aayi hai.
Bay chadar zainab aayi hai, tera dheen bacha kar laayi hai.

1) Pucha jo kisi nai Zainab sai bahi hai kahan to Zainab nai
Eik muthi khaak uthayi hai
Aur khaak hawa mei urhayi hai, tere beghar Zainab aayi hai

2) Maqtal mai lagi thi qimat-e-dheen boli detay thai dushman-e-dheen
Ay nana mai nai qimat

4) Tha kisne sawaar karaya jab Zainab ki sawari nikli thi
Ay shehr-e-Medina kahan hai vo
Zainab ki sawari aayi hai, tere beghar Zainab aayi hai.

Saturday, January 15, 2011

Samne Darbar Ke Ghairate Sajjad Ka

Samne darbar ke ghairate Sajjad ka hai yeh kaisa imtehaan
Teen din guzre khari hain x2, Fatima ki betiyaan

1) Shaam waaley has rahe hain, bekaso ko dekh kar
Hai charagha(n) chaar soo aur, saj rahe hai bamo-dar
Baabe sa’at par ruka hai, bekaso ka carava(n)

2) Sar Ali Akbar ka neze par uthate hain shaqee
Sun chuki satrah azaane, berida binte Ali
Ro rahi hain har azaan sun, ker Ali Akbar ki maa

3) Misle Zehra sar jhukaye shaamiyon me aa gayi
Chaar barson mein Sakina par za’eefi chaa gayi
Kaan bhi zakhmi hain galo, par tamachon ke nishan

4) Khoon ke aansoon tapakte, hain sar e Shabbir se
Poochti hai jab Sakina, Zainab-e-dilgeer se
Aye phupi amma yahan se, kab chalega carava(n)

5) Sab se mushkil merhala Saj,jad ke Yawar ye tha
Samne darbaar me jab, qaafila jaane laga
Parh rahee thi(n) inna lillah, us ghari sab bibiyaan

6) Khoon rotha hai jo Abid, us ko ye ehsaas hai
Fatima Zehra ki chaadar, shamiyon ke paas hai
Dekh kar kehti hai Zainab, mere Ghazi ho kahan

Zainab kai sath Fiza Hai Shaam Ja Rahi hai

Zainab kai sath Fiza Hai Shaam Ja Rahi hai
Her gaam per zaheefa sadmain utha rahi hai


1)Ho shaam ho ya kufa Ghazi kay baad fiza
Zehra key baityon ka parda bana rahi hey

2)Is din kai wastai hi maangi thi zindaigaani
Yun keh kay tazianay mazloom kha rahi hey


**********DORAY **********

Paband rasan ho kai chali karbobala sai
Sung Zainab o kulsom kai bazar may aayi
So zulm sahai sar pay magar sath na chora
Fiza nay zahifi main wafa khub nibahi

**************************

3)Chora na zulm seh kar Zainab ka sath is nay
Zehra sai jo kiya tha wada nibha rahi hai

4)Bazar-e-sham ka hai Zainab ka sar khula h
Sar ko jhukai Fiza aanso baha rahi hey

**********DORAY **********

Yaad aata hey Zahra kai janazai ko utha na
Zainab ko woh ghustak nigahon saiy bachana
Yeh shaam kay bazaar sai aati hai sadaain
Fiza ki wafaon ko na bhulai ga zamana

**************************

5) Kandhay pai kal issi kai Zehra ka tha janaza
Sung aaj Qaid ho kai zainab pai ja rahi hai

6) Jawad ashk khoon kai Sajjad kyun na roai
Mulkai?? waafa ki malka dunya sai ja rahi hai

Thursday, January 13, 2011

Jab Shaam Ke Zindaan Se Zainab Jo Reha Ho Gi

Jab Shaam Ke Zindaan Se Zainab Jo Reha Ho Gi
Jaye Gi Madine Jab Use Waqt Bhala Bibi Tere Sar Pe Rida Ho Gi

Nana Se Milo Gi Jab Hatoon Ko Choopao Gi
Aur Maa Ko Bazaroon Ke Halaat Sunaoo Gi
Maa Lehad Main Tarpe Gi Tere Lutne Ka Dukh Sun Ke
Aur Tujh Pe Fida Ho Gi

Beemaar Ki Aankhoon Se Phir Khoon Sa Bares Ga
Kis Jurm Main Qaidi Ho Har Koi Jo Pooche Ga
Is Ahd-E-Jawani Main Zanjeeroon Main Jhakre Ho
Abid Pe Jafa Ho Gi

Akber Sa Nagina Bhi Matti Main Jhara Ho Ga
Uljha Howa Teroon Main Shabbir Para Ho Ga
Zainab Tere Kanoon Main Masooma Sakina Ki
Rone Ki Sada Ho Gi

Masoom Sakina Ka Beemar Jo Pooche Gi
Toote Hoye Jhoole Main Asgher Ko Bhi Dhoonde Gi
Baba Hai Kahan Mere Kyoon Saath Nahi Aaye
Koi Tau Wajah Ho Gi

Khaime Main Khari Zainab Maqtal Main Para Bhai
Gurbat meisi shaab Main Ek Maut Ki Tanhai
Ujre Howe Khaimoon Main Zainab Ne Guzari Jo
Who Raat Bhi Kya Ho Gi

Makhdooma-E-Zainab Ka Akhter Yoheen Gum Likhna
Mazloom Ka Pursa Hai Aankheen Bhi Yeh Num Rakhna
Bakhsish Ke Liye Teri Mahsher Main Mohammed Ke
Hoontoon Pe Dua Ho Gi


Monday, January 3, 2011

Ya zainab-e-kubra

Bismillah-hir-rahmanir-raheem.
Innama yureedullahu li yuzhib ankumur rijs ahlalbayti wa yu tahhirakum tatheera

(Allah allah allah) x4

Allahu kabla kullu shai', allahu ba'da kullu shai', allahu kabla kullu shai', allahu ba'da kullu shai'

(Allah allah allah) x2 (Ya zainab-e-kubra) x6

1. Ay bibi baniye azaa, peghaam karbala tera, jisne suna yahi kaha

(Ya zainab-e-kubra) x4
2. Tegh khutbo ki barsare darbaar, jaise chalti ho haideri talwaar, kat ke ghirte the zalimo ke jigar, jang-e-khaiber thi ya teri lalkaar

(Ya zainab-e-kubra) x2
3. Ay bibi baniye azaa, dine rasool bach gaya, quran ki thi ye sadaa

(Ya zainab-e-kubra) x4
4. Yaad ata hai shaam ka manzar, bibi sarpe tere na thi chadar, har taraf patharo ki baarish thi, teri poshaak thi lahu me tar

(Ya zainab-e-kubra) x2
5. Ay bibi baniye azaa, sadma tha ye bohot baraa, roya sare shahe hudaa

(Ya zainab-e-kubra) x4
6. Tune bacho ki di hai qurbani, haye re tera zokh imaani, pyaase bhayi ki yaad me tune, khun bahaya hai ankhe ka paani

(Ya zainab-e-kubra) x2
7. Ay bibi baniye azaa, ye zabta hosla tera, neze pe ser pukaarta

(Ya zainab-e-kubra) x4
8. Tere dar par ye istighasa hai, jo bhi farshe aza pe rota hai, us pe saya kare tera ghazi, wo jo mushkil kusha ka beta hai

(Ya zainab-e-kubra) x2
9. Ay bibi baniye azaa, hum momino ki ye dua, ashke azaa ka waastaa

(Ya zainab-e-kubra) x4
10. Kitne makrooz matami hai tere, karza tu ghaib se adaa karde, bibi tu to sakhi ki beti hai, tu to muflis ko baadshaah kar de

(Ya zainab-e-kubra) x2
11. Ay bibi baniye azaa, tu innama tu hal ataa, kehta hai sar jukaa huwa

(Ya zainab-e-kubra) x4
12. Qaid be jurma jo hai matamdaar, misle mazloom aabide bimaar, unko azaadiyo ko tohfa de, aaj tu misle haidare karrar

(Ya zainab-e-kubra) x2
13. Ay bibi baniye azaa, hum ko hai tera aasraa, ghairo se mangna hai kya

(Ya zainab-e-kubra) x4
14. Tere bhayi ne jaise rahib ko, saat bete ataa kiye phirto, tu bhi hamsheer us sakhi ki hai, dede awlaad chahiye jisko

(Ya zainab-e-kubra) x2
15. Ay bibi baniye azaa, awlaad aisi kar ataa, ho wo bhi matami tera

(Ya zainab-e-kubra) x4
16. Waasta us aseer bachi ka, rassiyo me bandha tha jiska gala, wo jo pyaasi thi mar gayi pyasi, koyi bacha na ab rahe pyaasa

(Ya zainab-e-kubra) x2
17. Ay bibi baniye azaa, har sabeel par likha, kehta hai khun bhayi ka

(Ya zainab-e-kubra) x4
18. Ay bibi baniye azaa, humse na haq adaa huwa, karde muafye khata

(Allah allah allah) x8

Mei ik bekas pardesi hun, mei lout ke aaunga

Shahid baltistani 2004

Shaam jaate huwe, roke sajjad ne kahaa, Assalaam ai bekas baba, bekas bete ka salaam

(Assalaamun alayk, ya gharib huseina) x3

(Mei ik bekas pardesi hun, mei lout ke aaunga) x3

1. (Mei saath phuphi ke ai baba) x2 Qur'aan sunaaunga

(Mei ik bekas pardesi hun, mei lout ke aaunga) x2

2. Ho tumpe salaam mera, ai mere gharib padar, ik qaafela tha tera, ik mei bhi chala lekar (mei ibne hussein hun ay baba) x2 zaalim ko bataaunga

(Mei ik bekas pardesi hun, mei lout ke aaunga) x2

3. Teri pyaari sakina bhi, mere saath safar mei hai, har gaam pe shahzaadi, bhai ki nazar mei hai, (mei dhuup mei reh kar ai baba) x2 use saaye mei laaunga

(Mei ik bekas pardesi hun, mei lout ke aaunga) x2

4. Zainab ko bin chaadar, jab dekh na paaoge, haae noke sina se phir, quraan sunaaoge, (aawaaz mei teri ai baba) x2 aawaaz milaaunga

(Mei ik bekas pardesi hun, mei lout ke aaunga) x2

5. Ik rassi mei baba, haay baara gale honge, sab chote bare baba, ik saath bandhe honge, (mehmil se girte bachon ko) x2 sine se lagaaunga

(Mei ik bekas pardesi hun, mei lout ke aaunga) x2

6. Ham qaidi bane honge, darbaar sajaa hoga, haae tasht kalaa mei aur, sar tera rakha hoga, (us pal mei sakina ko baba) x2 kis tarha sambhaalunga

(Mei ik bekas pardesi hun, mei lout ke aaunga) x2

7. Maangega sakina ko, ik shaami kanizi mei, marjaaunga mei baba, sunkar ye aseeri mei, (zahra ki shabi ko ay baba) x2 zaalim se bachaaunga

(Mei ik bekas pardesi hun, mei lout ke aaunga) x2

8. Teri yaad mei roro kar, zindaa na basaayengi, phir mout sakina ki, ham sab ko rulaaegi, (mei us ki lahad bhi ay baba) x2 haathon se banaaunga

(Mei ik bekas pardesi hun, mei lout ke aaunga) x2

9. Paaband-e-rasan yaawar, ye qaafela jab nikla, bimaar imaam mera, karta raha ye nauha, (hai teri qasam mujko baba) x2 tera naam bachaaunga

(Mei ik bekas pardesi hun, mei lout ke aaunga) x2