Wednesday, November 21, 2012

Aun O Mohammad

Haey Ali Akbar Ali Akbar


Haey Ali Akbar Ali Akbar (x2)
Haey wo jawaan lasha wo burapaa hussain ka (x2) Haey Ali Akbar
1) Ibne nameer tumse ye zainab ka hey sawaal,
   neze ko torte huwe aya na ye khayaal
   (Ham shakl ye jawaan hai) x2 shah-e- mashrakain ka
Haey Ali Akbar Ali Akbar (x2)
Haey wo jawaan lasha wo burapaa hussain ka (x2) Haey Ali Akbar
2) Wo jiske intizar me sudhara he be karaar,
   shayad wo khat me iska qayamat ko intizaar
   (lakte jigar he fathe) x2 beta hussain ka
Haey Ali Akbar Ali Akbar (x2)
Haey wo jawaan lasha wo burapaa hussain ka (x2) Haey Ali Akbar
3) Jab se chale khayam se ham shakl-e-mustafa,
   matam kuna hai arsh to larza me karbala
   (He ham bapaa khayaam me) x2 ek gul hai ben ka
Haey Ali Akbar Ali Akbar (x2)
Haey wo jawaan lasha wo burapaa hussain ka (x2) Haey Ali Akbar
4) Zainab tumhaare purke me kal tak tha jo pala,
   neze ka phal jo tutta to hatif ne di sadaa
   (be jurm qatl leila ka) x2 he noor-e-ayn ka
Haey Ali Akbar Ali Akbar (x2)
Haey wo jawaan lasha wo burapaa hussain ka (x2) Haey Ali Akbar
5. Jis roz se jawaan ki jawaani hai uth gayi,
   moje farat ki bhi rawaani hai root gayi
   (be iktiyaar meer hai) x2 Momin kai nain ka
Haey Ali Akbar Ali Akbar (x2)
Haey wo jawaan lasha wo burapaa hussain ka (x2) Haey Ali Akbar
6. Kaise uthaye lash ko mazloom-e-karbala,
   mu phair kar Hussain ne Allah se kaha
   (Le imtihaan shok se) x2 sabr Hussain ka
Haey Ali Akbar Ali Akbar (x2)
Haey wo jawaan lasha wo burapaa hussain ka (x2) Haey Ali Akbar