Sunday, December 29, 2013

Sham Araha hai

saadaat be-rida hai abid ka sar jhuka hai
sham aa raha hai
saara lahoo badan ka aankhon may aagaya hai
sham aa raha hai

bhai ka sar jahan tha bibi wahan pe aayi
boli ye sar jhuka ke karna duayein bhai
zainab ki karbala ka aaghaz ho raha hai
sham aa raha hai....

ummat khadi hui hai jholi may le ke pathar
zanjeer keh rahi hai chalna sambhal sambhal kar
ehle haram ka maqtal kuch duur reh gaya hai
sham aa raha hai....

naize pe sar jawan ka dekha to maa ye boli
akbar ye iltija hai tujse ghareeb maa ki
chadar kaheen se la de zainab ka sar khula hai
sham aa raha hai....

ailaan ho raha hai jaldi bulaya jaaye
zahra ki betiyon ko paidal chalaya jaaye
koofay ki manzilon se ye sakht marhala hai
sham aa raha hai....

zainab ne jab ye poocha ye kaunsi hai basti
sajjad mere dil par lagti hai gham ki barchi
haye dabi zuban se beemar ne kaha hai
sham aa raha hai....

ye fazl se ruqayya kehti hai ay bhateeje
zainab ki mai hoo zaamin baqir tere hawale
dono ne kaam apna taqseem kar liya hai
sham aa raha hai....

zainab ke gird behne parda bana rahi hai
khud be-rida hai lekin usko chupa rahi hai
akbar sitamgaron ne ailaan kar diya hai
sham aa raha hai....

Sunday, July 28, 2013

Yeh janaza hai Ali ka

Yeh Janaza Hai Ali Ka
Haaye Ali Maula x2
Yeh Janaza hai ali ka x2
Yeh Janaza Hai Ali ka, Shah-e-Khayber Geer ka, Yeh janaza hai Ali Ka x3
Aaj baba margaya hai, Shabbar o Shabbir ka
Yeh janaza hai Ali ka
Yeh janaza hai Ali ka shah e khayber geer ka
Yeh janaza hai Ali ka
Fatima Zehra ke marqad se sada anay lagi x2 Haye sada anay lagi
Yeh Masayib reh gaya tha, kya meri taqdeer ka
Yeh janaza hai Ali ka
Yeh janaza hai Ali ka shah e khayber geer ka
Ya Rasool Allaha ye Jibreel ne rokar kaha x2 Haye ye rokar kaha
Aik halqa aur toota, noor ki zanjeer ka
Yeh janaza hai Ali ka
Yeh janaza hai Ali ka, Shah e khayber geer ka
Yeh janaza hai Ali ka
Kyun chalayi tegh Haider par bin e muljim bata x2 Ay bin e muljim bata
Qatl quran kar diya kaata gala
Yeh janaza hai Ali ka
Yeh janaza hai Ali ka shah e khayber geer ka
Yeh janaza hai Ali ka
Ghum Ali ki betiyon ka phir se taza hogaya x2 Haaye taza hogaye
Ghum abhi bhooli kahan theen, Madare dilgeer ka
Yeh Janaza hai Ali ka
Yeh janaza hai Ali ka shah e khaber geer ka
Yeh janaza hai Ali ka
Nazron main janay Ali ko, Kya khayal ata raha x2 Haye khayal ata raha
Mun kabhi Zainab ne dekha, Aur kabhi Shabbir ka
Yeh janaza hai Ali ka
Yeh janaza hai Ali ka shah e khayber geer ka
Yeh janaza hai Ali ka
Betiyoon ko dekhti hain aur rote hain Ali x2 Haaye rote hain Ali
Haaye wo zaalim tasawwur shaam ki tash’eer ka
Yeh janaza hai Ali ka
Yeh janaza hai Ali ka shah e khayber geer ka
Yeh janaza hai Ali ka
Chote se Abbas bhi rote hain sar ko peet kar x2 Haaye sar ko peet kar
Bachpana Abbas ka aur Zakhm dil par teer gaya
Yeh janaza hai Ali ka
Yeh janaza hai Ali ka shah e khayber geer ka
Yeh janaza hai Ali ka
Baap ki mayyat se Zainab ka lipatna baar baar x2 Haaye lipatna baar baar
Dil hila deta tha rona shah ki humsheer ka ka
Yeh janaza hai Ali ka
Yeh janaza hai Ali ka shah e khayber geer ka
Yeh janaza hai Ali ka 

Kabe mei aney wala masjid mei chalbasa hai