jab hawaon may nami mehsoos ki abbas ne,
ehtiyatan saans rok li abbas ne
mauj-e-kausar sar uthakar dekhti hi reh gayi,
itni unchayi par rakh di tashnagi abbas ne
saja rakhi thi darya par ajab baarat pani ki,
bahut karte thay ashrare yazidi baat pani ki
magar darya pe pahunchay thokare maari chale aaye,
batadi hazrat-e-abbas ne aukhaad pani ki
kate baazu chidi mashkeeza bachi reh gayi pyaasi,
zameen pe khoon bankar hogayi barsaat pani ki
ya abbas, ya abbas
jahan bhi pani-o-mask-o-alam ki baat chali,
ali ke laal ke qadmo tale faraad chali
wafa-e-ishq-o-mohabbat ki kaayanat chali,
dua-e-fatima zehra bhi saat saat chali
alam ke dam se hai ab tak hayaat pani ki,
jari ki jeet hui aur maath pani ki
ya abbas, ya abbas
wo ek mashk jo kausar samayt kar nikli,
labon pe apne samandar samayt kar nikli
tabassum-e-ali asghar samayt kar nikli,
jo ek zarb se laskhar samayt kar nikli
agar na kehti ye aab-e-hayaat pani ki,
har ek nigaah se gir jaati zaat pani ki
ya abbas, ya abbas
sakina bibi ke sadkhe ali ke laal salaam,
jari shaki asad-e-sher-e-zuljalaal salaam
wafa ki aakhri hadke mahay kamaal salaam,
nahi hai dono jahaan may teri misaal salaam
tere kate hue baazu nijaat pani ki,
tere badan ka pasina zakaat pani ki
ya abbas, ya abbas
himaayat-e-shah-e-mazloom may panaah abbas,
tabaat-o-jurrat-o-ghairat ki inteha abbas
janaab-e-zainab-e-bekas ka aasra abbas,
lab-e-faraath fakadh tune ye likha abbas
hamari tashnalabi hai faraath pani ki,
hayaat pyason ki thairi wafaath pani ki
ya abbas, ya abbas
meri hayaath ka samaan nasir-e-shabbir,
badalta rehta hai jo kaayanat ki taqdeer
faraath-o-mashq-o-alam jiski hashr tak jaageer,
mai aur ye meri tanzeem iske dar ke fakheer
bahegi chasm-e-aza se faraath pani ki,
chalegi majlis-o-matam may baat pani ki
ya abbas, ya abbas