saadaat be-rida hai abid ka sar jhuka hai
sham aa raha hai
saara lahoo badan ka aankhon may aagaya hai
sham aa raha hai
bhai ka sar jahan tha bibi wahan pe aayi
boli ye sar jhuka ke karna duayein bhai
zainab ki karbala ka aaghaz ho raha hai
sham aa raha hai....
ummat khadi hui hai jholi may le ke pathar
zanjeer keh rahi hai chalna sambhal sambhal kar
ehle haram ka maqtal kuch duur reh gaya hai
sham aa raha hai....
naize pe sar jawan ka dekha to maa ye boli
akbar ye iltija hai tujse ghareeb maa ki
chadar kaheen se la de zainab ka sar khula hai
sham aa raha hai....
ailaan ho raha hai jaldi bulaya jaaye
zahra ki betiyon ko paidal chalaya jaaye
koofay ki manzilon se ye sakht marhala hai
sham aa raha hai....
zainab ne jab ye poocha ye kaunsi hai basti
sajjad mere dil par lagti hai gham ki barchi
haye dabi zuban se beemar ne kaha hai
sham aa raha hai....
ye fazl se ruqayya kehti hai ay bhateeje
zainab ki mai hoo zaamin baqir tere hawale
dono ne kaam apna taqseem kar liya hai
sham aa raha hai....
zainab ke gird behne parda bana rahi hai
khud be-rida hai lekin usko chupa rahi hai
akbar sitamgaron ne ailaan kar diya hai
sham aa raha hai....