Sunday, November 27, 2011

Nawha tha ye zainab ka

Nawha tha ye zainab ka

(Nawha tha ye zainab ka. Qayd ho ke jaati hu) x2

1. Lut gayi meri duniya

(Nawha tha ye zainab ka. Kayd-e ho ke jaati hu) x2
2. (Chalbasa mera bhayi, me hu or tanhayi) x2 Koi bhi nahi apna, qayd ho ke jaati hu

(Nawha tha ye zainab ka. Kayd-e ho ke jaati hu) x2
3. (Jalti ret par asghar, nind agayi kyu kar) x2 Tap raha hai ban sara, qayd ho ke jaati hu

(Nawha tha ye zainab ka. Qayd ho ke jaati hu) x2
4. (Jab se jalgaye khayme, sehme sehme he bache) x2 Zulm karte hai ada, kayd-e ho ke jaati hu

(Nawha tha ye zainab ka. Qayd ho ke jaati hu) x2
5. (Sadke tumpe majayi, mere be kafan bhayi) x2 Kayse chen ayenga, qayd hoke jaati hu

(Nawha tha ye zainab ka. Qayd ho ke jaati hu) x2

Zuljanah ay zuljanah

Zuljanah ay zuljanah

Boli khatun-e-jina, yani shabbir ki maa(n), mera bacha hai(n) kahaa(n)


Zuljana ay zuljana (mera bacha hai(n) kaha(n)) x2

1. Boli khatun-e-jina, yani shabbir ki maa(n), mera bacha hai(n) kahaa(n)

Zuljana ay zuljana (mera bacha hai(n) kaha(n)) x2
2. Lay gaya ghar se ek pyaase ko, Rab ke mehboob ke nawase ko, Chor ker aagaya laeeno me, Gham zada maa ke tu assase ko. Dhund ne jawu(n) use, is andhere me kaha(n), Mera bachaa hai(n) kaha(n)

(Zuljana ay zuljana mera bacha hai(n) kaha(n)) x2
3. Jis ne lashe uthaye the din bhar, khune asghar tha jiske chehre par, zakhme akbar ki thi anni dil me, bhayi ki gham me jhuk gayi thi kamar, khaak urhaate hai nabi, hai ali mehve fughaa, mera bacha hai(n) kahaa(n)

Zuljana ay zuljana (mera bacha hai(n) kaha(n)) x2
4. raqibe dosh mustafa tha wo, tujhko bachpan se chahata tha wo, saath kyu(n) aaj uska chor diya, jabke mushkil me agaya tha wo, bewafayi ka sabab, kya karu(n) tujhko bayaa(n), mera bacha hai(n) kahaa(n)

(Fatema zahra) x4
5. tere mathe pe khun hai kiska, rang khu(n) ye tere sawaar ka tha, hai mere shir ki mehek usme, kampta hai alam se dil mera, bol khamosh hai kyu(n), tere asu(n) hai rawaa, mera bacha hai(n) kahaa(n)

Zuljana ay zuljana (mera bacha hai(n) kaha(n)) x2
6. jo teri pyaas par udaas raha, ho
ke paani ki aaspaas raha, phir bhi paani piyaa nahi usne, teri khatir wo mehwe yaas raha, khushk tha uska ghala, khushk thi uski zabaa(n), mera bacha hai(n) kahaa(n)

Zuljana ay zuljana (mera bacha hai(n) kaha(n)) x2
7. kaise soyegi ladli uski, jisko sine pa neend aati thi, jisne roka tha tujhko jaate huwe, kya kahega agar wo puchhegi, samna uska na kar, roke dedegi wo jaa(n), mera bacha hai(n) kahaa(n)

Zuljana ay zuljana (mera bacha hai(n) kaha(n)) x2
8. qalb zainab kahee(n) fighar na ho, dilpe ehle haram ke waar na ho, tu jo khayme me jayenga khali, kon hai jo, ke soghwaar na ho, tu jo jaayega wahaa(n), hashr ka honga samaa(n), mera bacha hai(n) kahaa(n)

Zuljana ay zuljana (mera bacha hai(n) kaha(n)) x2
9. na gawaa sar sina pe aayaa nazar, zikre khaliq tha jiske honto par, thaam kar dil larazte haatho(n) se, boli "rehan", madare sarwar, tujhse ay aspe jhari, ab na puchengi ye maa(n), mera bachha hai kahaa(n),

Zuljana ay zuljana (mera bacha hai(n) kaha(n)) x2

(Fatema zehra) x4

Meera vad maula, sarwar-e-zehra, aho-wawayla

KOHRAAM MACH GAYA

KOHRAAM MACH GAYA

Alvida.. x(4) Alvida.. x(4)


Khaime me aake Shah ne jab alvida kaha

Kohraam mach gaya....x(2)


Tha jiska intezaar wo *saa at kareeb hai,
Din dhal raha hai *saamne musibat kareeb hai,
Kuch der ki hai baat qayamat kareeb hai,
Zainab (s.a) gareeb bhai ki ruksat kareeb hai.
ye kehke maanga maa ka jo kurta sila hua.....
Kohraam mach gaya


Kuch dur hat ke khaime mein bole Shahe Zaman,
Zehmat na ho to bazu badhao zara behen,
Main bose loon wahaan ke bandhegi jahaan rasan,
Bazu badha ke roti thi hamshir khastatan,
Bhai behen ke bazu ko jab chum ne laga...
Kohraam mach gaya.....

Ye sun ke binte Fatema Zehra (s.a) tadap gayiin,
Boli gala badhao bas ab jald ya akhi,
Amma ki baat aaj mujhe yaad aa gayi,
Main bose loon wahaan ke chalegi jahaan churii,
Zainab(s.a) ne badh ke chuma beradar ka jab gala....
Kohraam mach gaya...............

Beti se phir ye kehne laga Fatema(s.a) ka laal,
Rehna phuphhi ke paas rakhengi tera khayaal,
Gurbat hai tum phuphi se na karna koi sawaal,
Warna tere pedar ko bohot hoyega malaal,
Phir sar pe haath rakh ke jo dene lage dua......
Kohraam mach gaya...........

]Beti ko jab supurde behen kar chuke Imam(a.s)
Rokar behen se kehne lage aasma makaam,
Jaana watan jo qaid se chhutt kar ae tishnakaam,
kehna lehed pe maa ki mera aakhri salaam,
Aaya jo lab pe Fatema Zehra(s.a) ka taskeraa....
Kohraam...........

Aabid se phir ye kehne lage Shahe Karbala,
Bewaon or yatimon ka ab tum ho aasra,
Jo imtehaan mera tha sab maine de diya,
Aage tera chirag hai beemar-e-karbala,
Beemar beta baap se jis dam juda hua.....
kohraam..........

Khaime se bahar aaye jo sultan-e-karbala,
Sar ko jhukaye rota tha khud asbe bawafa,
Ab kis tarah sawaar ho Zehra(s.a) ka laadla,
Tanhaii ke siwa koi yaawar nahi raha,
Jab sue neher dekh ke Gaazi(a.s) ko di sada....
kohraam.........

Bhai ko tanha dekh ke Zainab(s.a) tadap gayiin,
Roti hui Hussain(a.s) ke nazdeek aa gayiin,
Or phir raqaab thaam ke boli ae Shahe Deen,
main sawaar karti hoon Abbas(a.s) gar nahi,
*Waariz hua sawaar jo Zehra(s.a) ka laadla.......
kohraam mach gaya.........

Saturday, November 26, 2011

Jane wale karbala kay, karbala lay chal muje

(Karbala Karbala Karbala hey karbala) x2

(Jane wale karbala kay karbala ley chal muje) x4

1. (Jane wale karbala kay, karbala lay chal muje) x2

Roza e shabbir par dunga dua ley chal muje

(Jane wale karbala kay karbala lay chal muje) x2

2. (Hay jaha ganje shahida hey jahaa nehre furaat) x2

Jis jaga syed mera pyaasa rahaa ley chal muje

(Jane wale karbala kay karbala lay chal muje) x2

3. (Jis jagaa jagi thi kismat hur ki wo dekhunga mai) x2

Aasyo par kaise hoti hai ataa ley chal muje

(Jane wale karbala kay karbala lay chal muje) x2

4. (Is kadar nadaar uza may safar kuch bhi nahi) x2

Dosh par apni dikha kar ay hawaa ley chal muje

(Jane wale karbala kay karbala lay chal muje) x2

5. (Jis jaga abbas ke bazu kalam ho kar gire) x2

Us jaga mai bhi karu matam zara ley chal muje

(Jane wale karbala kay karbala lay chal muje) x2

6. (Dil ullaj kar agaya barchi mai akber ka jahan) x2

Dil waha mai bhi karu apna fida ley chal muje

(Jane wale karbala kay karbala lay chal muje) x2

7. (Jal gaye sham-e ghariban mai jaha khayme tama) x2

Jis jaga nana sa ek jula jala ley chal muje

(Jane wale karbala kay karbala lay chal muje) x2

8. (Haye wo maktal jaha bali sakina raat me) x2

Dhoond ti phir ti thi sina baap ka ley chal muje

(Jane wale karbala kay karbala lay chal muje) x2

9. (Jane wale karbala kay, karbala lay chal muje) x2

Roza e shabbir par dunga dua ley chal muje

Asghar ka janaza

Asgar ka janaza Asgar ka janaza


Ay momino jab khoon me duba huwa aaya
Asgar ka janaza Asgar ka janaza x2


1)Shabbir ne ek maa se use kaise chupaaya

Asgar ka janaza Asgar ka janaza x2


2)Hatho pe janaza Ali Asgar ko uthakar

Rukh suwe falak karke sada det the sarwar

Allah yehi hadya e aakhir hai hamara


3)Chehre pe mere khoon hai mere guncha dahan ka

Murjaya hai ye ful Muhammad ka chamanka x2

Ay nana tere din pe karta hu mai sadka


4)Sangdil tha layin bache pe kuch rahm na khaaya

Pani ke talab kame pe khoon uska bahaya x2

Islam ko ab hashr talak kar gaya zinda


5)Jab rat ko maa apne tasawur ko jagati

Awaz use jule ki nauha ye sunati x2

Kya bhul gaye hatho pe sarwar ke jo dekha


6)Maa kehti thi ay god ke paale Ali Asgar

Thi aarzu dekhugi me sehra tere sarpar x2

Kyu waqt ne muz kokh jali ko hai dikhaya


7)Yad aagaya zinda me jo bhayya ka humakna

Sajjad se tab kehne lagi bali Sakin x2

Kya khake taras dhup se logo ne uthaya

Kahti Thi Yeh Maa Khoon Bhari Maiyat Say Lipat Kar

Kahti thi yeh maa khoon bhari maiyat say lipat kar

Haaye haaye Ali Akbar, haaye haaye Ali Akbar.

1) Arman tha pahnawoon gi poshak shahani

Afsoos keh raas aaie na tujh ku yeh jawani

Kaisa tha muqaddar, haaye haaye Ali Akbar.

2) Aathara baras paal kay parwan charhaya

Aur gaisuwoon wala haaye mera khoon main nahaya

Khurban ho maadar, haaye haaye Ali Akbar.

3) Itna to zara thehro tumhain dhulha bana loon

Bas ek jhalak sahray ki Sughra ku dhika Loon

Baichain thi khawahar, haaye haaye Ali Akbar.

4) Maa teri judaie mein bhala kaisay jeeye gi

Maar jaayaigi Sughra jo khabar teri sunay gi

Ab kya karoon dilber, haaye haaye Ali Akbar.

5) Tehro kay mein atharween mannat to badha loon

Phir lay kay balayein tujhay jeenay ki dua doon

Sadqay ho ay maadar, haaye haaye Ali Akbar.

6) Pehlay to ek aawaz pay uth jatay thay beta

Ab etni saada’oon pay bhi pehloo nahi badla

Kya ho gaya dilber, haaye haaye Ali Akbar.

7) Tum hichkiyaan lay lay kay jo dam taur rahay ho

Moo maa say hamaisha kay liye mour rahay ho

Kyon rootay ho dilber, haaye haaye Ali Akbar.

8) Aaye jo hamein lootnay hhaimay mein sitamgar

Maa day gi sadaayein Ali Akbar, Ali Akbar

Chin jaayay gi chaadar, haaye haaye Ali Akbar.

9) Jab koi jawan laash nazar aati hai mahshar

Ek yaad suyay Karbobala jaati hai mahshar

Dil rota hay kah kar, haaye haaye Ali Akbar.

Thursday, November 24, 2011

Tur Chaliyan Shaamnu Baba Mein Veer Govaake

Tur chaliyan shaamnu baba mein veer govaake.

Mein marke bhee nahi bhulna (x2) gai veer kuna dafna ke hai
Mein veer govaake.

1) Tati raithte sooh gaya Akbar naale tur gaya Ghazi
Peya pathra haith hai baba medda veer namazi
Aa Zainab toon sawaar kara (x2)
Vich Karbal baba aake hai
Mein veer govaake.

2) Shalana koi mere vango injh laash te aawe
Na behn kise virandi injh uthke jaawe
Uthi veer di lash to rohndi mein (x2)
Jiwe wal wal jidhka khake hai
Mein veer govaake.

3) Nai lash te rohwan dende pay zaalim menu
Iyo jee karda ay mera dee ankhhe tenu
Rajh rowa chaar diwaari me (x2)
Tadde gal wich bawa pake hai
Mein veer govaake.

4) Aa vekh zaara Farwa da jo baba haal ay
Nai umbri to pay lubde huth mehndiya waale
Aa hath lab bhan re Qasim de (x2)
Mede naal to maqtal jaake hai
Mein veer govaake.

5) Payo aap banada parde to babul mere
Sang poor de wanjhde Zainab wich sher de tere
Teri raah vekha sang parjaaya (x2)
Hathqadiya rassiya paake hai
Mein veer govaake.

6) Oda matam jagte rehsee taa hushar te jaari
Jidi laash te naa rajh rooi ek darda mari
Khursid bacha gayah deen jira (x2)
Wich sajde sees katake hai
Mein veer govaake.