Wednesday, November 21, 2012

Aun O Mohammad

Haey Ali Akbar Ali Akbar


Haey Ali Akbar Ali Akbar (x2)
Haey wo jawaan lasha wo burapaa hussain ka (x2) Haey Ali Akbar
1) Ibne nameer tumse ye zainab ka hey sawaal,
   neze ko torte huwe aya na ye khayaal
   (Ham shakl ye jawaan hai) x2 shah-e- mashrakain ka
Haey Ali Akbar Ali Akbar (x2)
Haey wo jawaan lasha wo burapaa hussain ka (x2) Haey Ali Akbar
2) Wo jiske intizar me sudhara he be karaar,
   shayad wo khat me iska qayamat ko intizaar
   (lakte jigar he fathe) x2 beta hussain ka
Haey Ali Akbar Ali Akbar (x2)
Haey wo jawaan lasha wo burapaa hussain ka (x2) Haey Ali Akbar
3) Jab se chale khayam se ham shakl-e-mustafa,
   matam kuna hai arsh to larza me karbala
   (He ham bapaa khayaam me) x2 ek gul hai ben ka
Haey Ali Akbar Ali Akbar (x2)
Haey wo jawaan lasha wo burapaa hussain ka (x2) Haey Ali Akbar
4) Zainab tumhaare purke me kal tak tha jo pala,
   neze ka phal jo tutta to hatif ne di sadaa
   (be jurm qatl leila ka) x2 he noor-e-ayn ka
Haey Ali Akbar Ali Akbar (x2)
Haey wo jawaan lasha wo burapaa hussain ka (x2) Haey Ali Akbar
5. Jis roz se jawaan ki jawaani hai uth gayi,
   moje farat ki bhi rawaani hai root gayi
   (be iktiyaar meer hai) x2 Momin kai nain ka
Haey Ali Akbar Ali Akbar (x2)
Haey wo jawaan lasha wo burapaa hussain ka (x2) Haey Ali Akbar
6. Kaise uthaye lash ko mazloom-e-karbala,
   mu phair kar Hussain ne Allah se kaha
   (Le imtihaan shok se) x2 sabr Hussain ka
Haey Ali Akbar Ali Akbar (x2)
Haey wo jawaan lasha wo burapaa hussain ka (x2) Haey Ali Akbar

Sunday, January 22, 2012

TEERON KI ZAD MEI AAGAYA


Teero ki zad mei aagaya Zahra ka gulbadn
Sarmaye rasool hai shezada e amal

Poshak jis ki khuld se laye hoo jibreal
Aab uske hai badn pe zukhmo ka peyrahan
Samaraye…….

Barse hai teer itne laashe hasan pe yoo
Zanjir hai lahoo mei bas moom ka safar
Sarmaye….

Koi Mustafa se usko kese juda kare
Mumkin nahi hai is se takmile panjetan
Sarmaye…….

Ik tu hi tu hasan ka naukar nahi amir
Har marde bawafa ka sardar hai hasan
Sarmaye…….

Friday, December 30, 2011

Ya Abbas ya Abbas !!

jab hawaon may nami mehsoos ki abbas ne,
ehtiyatan saans rok li abbas ne
mauj-e-kausar sar uthakar dekhti hi reh gayi,
itni unchayi par rakh di tashnagi abbas ne
saja rakhi thi darya par ajab baarat pani ki,
bahut karte thay ashrare yazidi baat pani ki

magar darya pe pahunchay thokare maari chale aaye,
batadi hazrat-e-abbas ne aukhaad pani ki
kate baazu chidi mashkeeza bachi reh gayi pyaasi,
zameen pe khoon bankar hogayi barsaat pani ki
ya abbas, ya abbas

jahan bhi pani-o-mask-o-alam ki baat chali,
ali ke laal ke qadmo tale faraad chali
wafa-e-ishq-o-mohabbat ki kaayanat chali,
dua-e-fatima zehra bhi saat saat chali
alam ke dam se hai ab tak hayaat pani ki,
jari ki jeet hui aur maath pani ki
ya abbas, ya abbas

wo ek mashk jo kausar samayt kar nikli,
labon pe apne samandar samayt kar nikli
tabassum-e-ali asghar samayt kar nikli,
jo ek zarb se laskhar samayt kar nikli
agar na kehti ye aab-e-hayaat pani ki,
har ek nigaah se gir jaati zaat pani ki
ya abbas, ya abbas

sakina bibi ke sadkhe ali ke laal salaam,
jari shaki asad-e-sher-e-zuljalaal salaam
wafa ki aakhri hadke mahay kamaal salaam,
nahi hai dono jahaan may teri misaal salaam
tere kate hue baazu nijaat pani ki,
tere badan ka pasina zakaat pani ki
ya abbas, ya abbas

himaayat-e-shah-e-mazloom may panaah abbas,
tabaat-o-jurrat-o-ghairat ki inteha abbas
janaab-e-zainab-e-bekas ka aasra abbas,
lab-e-faraath fakadh tune ye likha abbas
hamari tashnalabi hai faraath pani ki,
hayaat pyason ki thairi wafaath pani ki
ya abbas, ya abbas

meri hayaath ka samaan nasir-e-shabbir,
badalta rehta hai jo kaayanat ki taqdeer
faraath-o-mashq-o-alam jiski hashr tak jaageer,
mai aur ye meri tanzeem iske dar ke fakheer
bahegi chasm-e-aza se faraath pani ki,
chalegi majlis-o-matam may baat pani ki
ya abbas, ya abbas

Sunday, November 27, 2011

Ashoor ki sahr hey akbar ki azan hey


Ashoor ki sehar hey

haye akbar haye akbar haye haye akbar x2

Ashoor ki sahr hey akbar ki azan hey
Ashoor ki sahr hey akbar ki azan hey x 2

Shabbir kay lashkar mein x 2 aik shoo ray phonga hey
Ashoor ki sahr hey akbar ki azan hey x2

Saf basta ghazi hein maula key amanat mein
ansar sha-hedeen hein masroof e Ibadat mein
sajday mein dua karti x2 akbar teyri maa hey

Ashoor ki sahr hey akbar ki azan hey x2

Shabbir kay lashkar mein x 2 aik shoo ray phonga hey
Ashoor ki sahr hey akbar ki azan hey x2

kiya soog ka aalam tha shabbir kay laskhar mein
maa kehti lao gee akbar ki dulhan ghar mein
maaloom na tha inki x2 kismat mein see na hey

Ashoor ki sahr hey akbar ki azan hey x 2

Doray
------------------------------------
Ashoor say her subhay ki aghoosh mein ab tak masoom ki tasir goonj rahi hey.
Islam ki wadee mein awaz hey aae loog - shabbir kay akbar ki azan goonj rahi hey

-------------------------------------

awaz azan pohan chee jis waqt madina mein
sughra nay kaha koi hasrat nahi see nay mein
mujhey itna yeh bata dey x 2 bhai tu kahan hey
Ashoor ki sahr hey akbar ki azan hey x 2

Shabbir kay lashkr may x2 aik shoray phonga hey

Ashoor ki sahr hey akbar ki azan hey x2
dum tortay akbar nay baba say kah ro kar
sugra ko bata dey na sahra na bandha sar per
barche hi kalay jay mein x2 aur khusk zaban hey
Ashoor ki sahr hey akbar ki azan hey x2

Doray
-------------------------------------------------
atha raa barz x2 paal kay jis ko jawan kiya
atha raa barz paal kay jis ko jawan kiya
zainab kay saam nay wohi dam tornay laga
zainab nay x3 ser ko peet kay lasha say ya kaha
akbar x3 nahi gaya meray senay say dil gaya
-------------------------------------------------

zainab kay yeh nalay thay lasha ali akbar per
atha raa bars pala tha tujey akbar
mein dhoop x2 aur aashk rawan hein

Ashoor ki sahr hey akbar ki azan hey x2

shabbir kay laskar mein aik shoray phonga heyAshoor ki sahr hey akbar ki azan hey x4



Sine pe sulane ko

Sine pe sulane ko

(Akhri raat sakina ki) x2

(Haay haay hay) x3

(Me khaak pa sojaungi) x2 ha kehti hu(n) baba

(Sine pe sulane ko kaha kehti hu(n) baba) x2

1. Kehti hu(n) ke chehra hi dikhajayiye baba

Marne se mere pehle hi aajayiye baba

Pehlu me chhupane ko kaha keti hu(n) baba

Me khaak pa sojaungi, ha kehti hu(n) baba

Sine pe sulane ko kaha kehti hu(n) baba
2. Bache to bohot chhote huwa karte hai baba

Har aik musibat pe gila karte hai baba

Me naaz uthane ko kaha kehti hu(n) baba

Me khaak pa sojaungi, ha kehti hu(n) baba

Sine pe sulane ko kaha kehti hu(n) baba
3. Sehlungi jo haathon ki lakiron me likha hai

Zindaan ki andheron ka gila kisne kiya hai

Me shamme jalane ko kaha kehti hu(n) baba

Me khaak pa sojaungi, ha kehti hu(n) baba

Sine pe sulane ko kaha kehti hu(n) baba
4. Haaye baba, baba mere bachpan ka taqaza to nahi tha

Khabon me khilone the janaza to nahi tha

Ghodi me khilane ko kaha kehti hu(n) baba

Me khaak pa sojaungi, ha kehti hu(n) baba

Sine pe sulane ko kaha kehti hu(n) baba
5. Baba mere zakhmon ki dawa kon karega

Ab jaan sakina ko bhala kon kahega

Pehlu me chhupane ko kaha keti hu(n) baba

Me khaak pa sojaungi, ha kehti hu(n) baba

Sine pe sulane ko kaha kehti hu(n) baba
6. Zindaan ki andheron me sula kyun nahi dete

Baba mujhe marne ki dua kyun nahi dete

Me lori sunaneko kaha kehti hu(n) baba

Me khaak pa sojaungi, ha kehti hu(n) baba

Sine pe sulane ko kaha kehti hu(n) baba
7. Koi bhi nahi aansu mere ponchne wala

Sarpe nahi hathon ko koi pherne wala

Bahon me chupane ko kaha kehti hun baba

Me khaak pa sojaungi, ha kehti hu(n) baba

Sine pe sulane ko kaha kehti hu(n) baba
8. Haaye baba, marjawu agar baba tera shaam ho aana

Bimar akela hai janaze ko uthana

Godi me uthane ko kaha kehtu hu(n) baba

Me khaak pa sojaungi, ha kehti hu(n) baba

Sine pe sulane ko kaha kehti hu(n) baba
9. Arman sakina ki yahi bayn the haaye

Me kehti rahi baba magar aap na aye

Turbat bhi banane ko kaha keti hu(n) baba

Me khaak pa sojaungi, ha kehti hu(n) baba

Baba ko rone wali sine pe sone wali (sakina guzar gayi) x3

Nawha tha ye zainab ka

Nawha tha ye zainab ka

(Nawha tha ye zainab ka. Qayd ho ke jaati hu) x2

1. Lut gayi meri duniya

(Nawha tha ye zainab ka. Kayd-e ho ke jaati hu) x2
2. (Chalbasa mera bhayi, me hu or tanhayi) x2 Koi bhi nahi apna, qayd ho ke jaati hu

(Nawha tha ye zainab ka. Kayd-e ho ke jaati hu) x2
3. (Jalti ret par asghar, nind agayi kyu kar) x2 Tap raha hai ban sara, qayd ho ke jaati hu

(Nawha tha ye zainab ka. Qayd ho ke jaati hu) x2
4. (Jab se jalgaye khayme, sehme sehme he bache) x2 Zulm karte hai ada, kayd-e ho ke jaati hu

(Nawha tha ye zainab ka. Qayd ho ke jaati hu) x2
5. (Sadke tumpe majayi, mere be kafan bhayi) x2 Kayse chen ayenga, qayd hoke jaati hu

(Nawha tha ye zainab ka. Qayd ho ke jaati hu) x2