Ay Khuda ! Ay Khuda ! Ay Khuda !
Ay Khuda Ay Khuda Hay Yehi Aarzoo
Mein Imam-e-Zamaa ka Sipahi Banoo
Misle Maisam jala kay chiragh-e-wafa
Bhardoon apnay lahoo sey ayad-e-wafa*
Qafila Zuriyat ka Na bhatkay kabhi
Misle Hurr choor jaoon chiragh-e-wafa
Ay Khuda Ay Khuda Hay Yehi Aarzoo
Mein Imam-e-Zamaa(as) ka Sipahi Banoo
Mairay Aqa Ki Janib jo uthee nazar
Cheen loonga un ankhoon sey noor-e-basar
Kaat doonga uss aadmi ki zabaan
barh gaya koi had-e-adab sey agar
Ay Khuda Ay Khuda Hay Yehi Aarzoo
Mein Imam-e-Zamaa(as) ka Sipahi Banoo
Kash jab mein hoon masroof-e-Kaar-e-Ghira*
Maujiza aisa dikhlaye maira Khuda
Dekh kar mujhko alooda-e-Khaak-o-khoon
Khud Imam-e-Zamaan(as) Keh uthein Marhaba
Ay Khuda Ay Khuda Hay Yehi Aarzoo
Mein Imam-e-Zamaa(as) ka Sipahi Banoo
Jab Alam lay kay maqtal ki janib barhoon
Yeh rujuz shaan-e-Mola Ali mein parhoon*
Ghum Nahi hay kay haq goi kay jurm mein
Qatl karday zamana kay phaasi charhoon
Ay Khuda Ay Khuda Hay Yehi Aarzoo
Mein Imam-e-Zamaa(as) ka Sipahi Banoo
Ta ba Anjaam-e-Ghaybat jo mein na rahoon
Ayy Khuda Haq-e-Nusrat ada Yu Karoon
Jab Imam apnay lashkar ko tarteeb dein
Mein bhi Turbat sey labaik kehta uthoon
Daagh Hay Dil Pay Zahra ki Jageer ka
Ghum Hay Aale Muhammad ki Tash-heer ka
Kam sey Kam itni Mohlat Khuda Bakhsh Dey
Badla Mein Lay Sakoon Khoon-e-Shabbir Ka
Ay Khuda Ay Khuda Hay Yehi Aarzoo
Mein Imam-e-Zamaa ka Sipahi Banoo[/QUOTE]
Karbala Mein ajab zulm dhaye gaye
Loota Hay sheh ko khaimay jalaye gaye
Mujrimo ki tarhaa dar ba dar nangay sir
AhleBayt-e-Muhammad Phirayee gayee
Ay Khuda Ay Khuda Hay Yehi Aarzoo
Mein Imam-e-Zamaa ka Sipahi Banoo
Ashqiya zulm per zulm dhatay rahay
Bay sabab taziyaanay lagatay rahay
Khoon rotay rahay Ahlebayt-e-Nabi
Log Jashn-e-Musarrat manatay rahay
Ay Khuda Ay Khuda Hay Yehi Aarzoo
Mein Imam-e-Zamaa ka Sipahi Banoo
Baandh kar aik rassi mein bara galay
Soo-e-darbar-e-shaam ashqiya lay chalay
Koi aisa na tha jo yeh poochta
Khatm Kab hoongay yeh zulm kay silsilay
Ay Khuda Ay Khuda Hay Yehi Aarzoo
Mein Imam-e-Zamaa ka Sipahi Banoo
Karbala dey rahee hay musalsal sada
Muntazir janay kab sey hain ahle wila*
Jald hoo abb zahoor-e-Imam-e-Zamaan
Ayy Khuda Hay yehi aarzo-e-wafa
Ay Khuda Ay Khuda Hay Yehi Aarzoo
Mein Imam-e-Zamaa(as) ka Sipahi Banoo
Ajrokumallah
ReplyDeleteDr hilal Naqvi zinda bad
ReplyDelete