Beemar ki aankhain hain Akber teri rahon per
Deewarain bhi rotin hain Sughra ki karahon per
1) Sughra nai kaha muj ko aik baar jo mil jai
Ser apna main rakh dun ki bahiya teri paaon per
2) Kyun bhool gayai bahiya Sughra ki khata kya hai
Awaz nahi daitai Kyun meri Sadaon per
3) Wo khud hi samajh lai gi hai mara gaiya bahi
Dekhai gi nishan jis dam Zainab teri bahon per
4) Dekha kai lahu main hai dhooba huwa sab kunba
Kya khaab utar aaya Sughar ki nighahon per
5) Piyasai rahai jab Akber barsi na ghata koi
Afsos karai dunya ab aisai ghataon per
6) Hai dhoop main jis din sai lasha Ali Akber ka
Ma ashk girati hai her pairh ki chahon per
Where is maqta?? Rehan Azmi is the poet of this noha
ReplyDelete