Wednesday, December 5, 2012

Haey Shaam ka bazaar Sajjad se ronay ka sabab pooch raha hay



Haey Shaam ka bazaar
Haey Shaam ka bazaar (x4)

Sajjad se ronay ka sabab pooch raha hay
Haey Shaam ka bazaar (x2)

Jo Shaam me guzri hay woh sab pooch raha hay
Haey Shaam ka bazaar (x2)

1) Woh lakho tamashai be parda phuphee behne
   Aise na lahu roye beemar ki phir aakhen
   Is gham ki aziyyat ne use maar diya hay
   Haey Shaam ka bazaar (x2)

2) Kis tarah qarar aaye beemaar ko aey logo
   Sar naizon pe pairon ke aate hain nazar jisko
   Yeh musafir ki yeh kaisi sazaa hai
   Haey Shaam ka bazaar (x2)

3) Aakhon se hay khun jaari aur khar hay beemari
   Zanjeer hay pairon me aur tawk bhi hay bhaari
   Jalti hai zamin saari aur garm hawaa hay
   Haey Shaam ka bazaar (x2)

4) Jaagir nahi maangi zanjeer nahi badli
   Saaye me nahi baitha poshaak nahi badli
   Maa behno ki khaatir woh rida maang raha hay
   Haey Shaam ka bazaar (x2)

5) Zindaan ke masaaeb bhi har waqt rulaate hain
   Mar jaye na Zainab ye kahi shoch raha hai
   Haey Shaam ka bazaar (x2)

6) Zindaan se reha hoke bhi zindaan me hain Sajjad
   Ek nanhi si turbat karti hay faryaad
   Mar kar bhi rahun qaid may kya meri khataa hay
   Haey Shaam ka bazaar (x2)

7) Yeh zakhm bhi Sajjad ko jeenay nahi deta
   Zakhmon se Sakina ke jo chipkaa raha kurtaa
   Woh khun bharaa kurta hi kafan us ka banaa hai
   Haey Shaam ka bazaar (x2)

8) Baazaar me darbaar me zindaan may roye
   Chaalis baraz mawt ke armaan may roye
   Rehan mera maula taraptaa hi rahaa hay
   Haey Shaam ka bazaar (x2)

Halchal hay foje Shaam may Abbas aatay hain



Halchal hay foje Shaam may Abbas aatay hain
Teeron pay teer neezon pay nezay chalatey hain (x2)

1) Kya waqt par gaya hai Muhammad kee aal par (x2)
   Chaddar nahein hai (x2)  balon sey moon ko chupatey hain.

2) Asghar ko maan sulatee hai chup chup kay god mein (x2)
   Khaimon ko tor (x2) tor kai jab teer aatey hain.

3) Dil pani pani hota hai bachon ka pyaas sey (x2)
   Sookhi zaban (x2) honton par Asghar phiratay hain.

4) Ghoray duraye Shaam key lashkar ko atey hain (x2)
   Kam umr bachey (x2)  khaimon mein ghabraye jatey hain.

5) Duniya ko dediya hai sabaq yeh Hussain ney (x2)
   Rahe Khuda mein (x2) istarah sur ko katatey hain.

6) Kya waqt par gaya hai Muhammad kee aal par (x2)
   Chaddar nahein hai  (x2) balon sey moon ko chupatey hain

Beemar ki aankhain hain Akber teri rahon per

Beemar ki aankhain hain Akber teri rahon per
Deewarain bhi rotin hain Sughra ki karahon per

1) Sughra nai kaha muj ko aik baar jo mil jai
   Ser apna main rakh dun ki bahiya teri paaon per

2) Kyun bhool gayai bahiya Sughra ki khata kya hai
   Awaz nahi daitai Kyun meri Sadaon per

3) Wo khud hi samajh lai gi hai mara gaiya bahi
   Dekhai gi nishan jis dam Zainab teri bahon per

4) Dekha kai lahu main hai dhooba huwa sab kunba
   Kya khaab utar aaya Sughar ki nighahon per

5) Piyasai rahai jab Akber barsi na ghata koi
   Afsos karai dunya ab aisai ghataon per

6) Hai dhoop main jis din sai lasha Ali Akber ka
   Ma ashk girati hai her pairh ki chahon per

Monday, December 3, 2012

Ab Bhi Aati hai Sakina Ki Sadain Logon Hai Zindaano Sa

Ab Bhi Aati hai Sakina Ki Sadain Logon Hai Zindaano Sai
Merai Baba Sai Mila Do Main Duain Dun gi, Siskian lai kai jo kehti thi musalmano sai

Bai Qafan tuj ko liyai phirta hun bazaron main
Aur Lahu ab bhi hai jaari terai kaano sai

2) Ja Kai Maqtal Main Pukari Yeh Sakina ro ker
Bahiya Qasim merai Akber tum kahan ho sarai
Merai Baba ko bacha lo aakai Shaitanon sai

3) Jab chali ghar sai terai sath sabhi thai Zainab
Auno Muhammado Akber Yaad aatain hon gai
Laut key ayi jo hogi tu


4) Labai Derya sai Alamdar ki aayi yeh Sada
Ai Sakina tuj sai sharminda hai cha cha tera
Paani phoncha na saka hai katai shano sai

5) Aj adhan-e-bayak waqt faza main goonji
Sani-e-Zehra kai khutbon ko dabanay kai liyai
Shor berpa kiya derba main adhano sai

Ay sham ke logo(n)


(Mei Bint e Ali hoon) x3

(Aey Sham keh logo mei bint e Ali hoon) x3

1.     (Mei waris e tatheer hoon) x2
Namoos-e-nabi hoon

(Aey Sham keh logo mei bint e Ali hoon) x2

2.     Bazaar se darbar mei leh aye ho muj ko
Chaho tou jala saktiee hoon khutboo se mei tum ko
Sabir ki behan hoon jo mei khamosh khari hoon

(Aey Sham keh logo mei bint e Ali hoon) x2

3.     Afsoos kanizi mei usse mang rahey hoo
Tum jis keh ghulamo ki ghulami mei rahey hoo
Yeh zulm na ho ga kabhi mei zinda abhi hoon

(Aey Sham keh logo mei bint e Ali hoon) x2

4.     Tum apney payambar ko agar dikhna chahoo
Nazey pe jo yeh sar hai issey ghour se dekhoo
Humshakal e payambar hai yeh mei is ki phupi hoon

(Aey Sham keh logo mei bint e Ali hoon) x2

5.     Aur iss se kathan waqt kya hoo gaa mere mabood
Fiza keh taraf dar hai darbar mei majood
Mei pusht pe fiza keh khari dekh rahe hoon

(Aey Sham keh logo mei bint e Ali hoon) x2

6.     Zehra ko bhi darbar mei tum neh tha bulaya
Darbar may mei bhi hoo magar farq hai itnaa
Pardey mei thi woh aur mei be parda kari hoon

(Aey Sham keh logo mei bint e Ali hoon) x2

7.     Zanjeero mei jakra jo yeh beimaar khraa hai
Sajda isey kaabey ki faseelo neh kiya hai
Mansab mei bara woh hai mei rishtey mei bari hoon

(Aey Sham keh logo mei bint e Ali hoon) x2

8.     Zinda tha tou dar dar keh hameshaa he larey hoo
Ab sar hai tou honto pe chari mar rahey hoo
Tum kitney bahaddur ho mei yeh dikh rahi hoon

(Aey Sham keh logo mei bint e Ali hoon) x2

9.     Honeh lagi darbar mei mushtarka azanein
“Rehan” idhar naam e nabi gunja fizza mei
(Bibi neh kaha fakhr se) x2 (mei jeet gayi hoon) x 3 

Wednesday, November 21, 2012

Aun O Mohammad

Haey Ali Akbar Ali Akbar


Haey Ali Akbar Ali Akbar (x2)
Haey wo jawaan lasha wo burapaa hussain ka (x2) Haey Ali Akbar
1) Ibne nameer tumse ye zainab ka hey sawaal,
   neze ko torte huwe aya na ye khayaal
   (Ham shakl ye jawaan hai) x2 shah-e- mashrakain ka
Haey Ali Akbar Ali Akbar (x2)
Haey wo jawaan lasha wo burapaa hussain ka (x2) Haey Ali Akbar
2) Wo jiske intizar me sudhara he be karaar,
   shayad wo khat me iska qayamat ko intizaar
   (lakte jigar he fathe) x2 beta hussain ka
Haey Ali Akbar Ali Akbar (x2)
Haey wo jawaan lasha wo burapaa hussain ka (x2) Haey Ali Akbar
3) Jab se chale khayam se ham shakl-e-mustafa,
   matam kuna hai arsh to larza me karbala
   (He ham bapaa khayaam me) x2 ek gul hai ben ka
Haey Ali Akbar Ali Akbar (x2)
Haey wo jawaan lasha wo burapaa hussain ka (x2) Haey Ali Akbar
4) Zainab tumhaare purke me kal tak tha jo pala,
   neze ka phal jo tutta to hatif ne di sadaa
   (be jurm qatl leila ka) x2 he noor-e-ayn ka
Haey Ali Akbar Ali Akbar (x2)
Haey wo jawaan lasha wo burapaa hussain ka (x2) Haey Ali Akbar
5. Jis roz se jawaan ki jawaani hai uth gayi,
   moje farat ki bhi rawaani hai root gayi
   (be iktiyaar meer hai) x2 Momin kai nain ka
Haey Ali Akbar Ali Akbar (x2)
Haey wo jawaan lasha wo burapaa hussain ka (x2) Haey Ali Akbar
6. Kaise uthaye lash ko mazloom-e-karbala,
   mu phair kar Hussain ne Allah se kaha
   (Le imtihaan shok se) x2 sabr Hussain ka
Haey Ali Akbar Ali Akbar (x2)
Haey wo jawaan lasha wo burapaa hussain ka (x2) Haey Ali Akbar