Haey Shaam ka bazaar
Haey Shaam ka bazaar (x4)
Sajjad se ronay ka sabab pooch raha hay
Haey Shaam ka bazaar (x2)
Jo Shaam me guzri hay woh sab pooch raha hay
Haey Shaam ka bazaar (x2)
1) Woh lakho tamashai be parda phuphee behne
Aise na lahu roye
beemar ki phir aakhen
Is gham ki
aziyyat ne use maar diya hay
Haey Shaam ka
bazaar (x2)
2) Kis tarah qarar aaye beemaar ko aey logo
Sar naizon pe
pairon ke aate hain nazar jisko
Yeh musafir ki
yeh kaisi sazaa hai
Haey Shaam ka
bazaar (x2)
3) Aakhon se hay khun jaari aur khar hay beemari
Zanjeer hay
pairon me aur tawk bhi hay bhaari
Jalti hai zamin
saari aur garm hawaa hay
Haey Shaam ka
bazaar (x2)
4) Jaagir nahi maangi zanjeer nahi badli
Saaye me nahi
baitha poshaak nahi badli
Maa behno ki
khaatir woh rida maang raha hay
Haey Shaam ka
bazaar (x2)
5) Zindaan ke masaaeb bhi har waqt rulaate hain
Mar jaye na
Zainab ye kahi shoch raha hai
Haey Shaam ka bazaar
(x2)
6) Zindaan se reha hoke bhi zindaan me hain Sajjad
Ek nanhi si
turbat karti hay faryaad
Mar kar bhi rahun
qaid may kya meri khataa hay
Haey Shaam ka
bazaar (x2)
7) Yeh zakhm bhi Sajjad ko jeenay nahi deta
Zakhmon se Sakina
ke jo chipkaa raha kurtaa
Woh khun bharaa
kurta hi kafan us ka banaa hai
Haey Shaam ka
bazaar (x2)
8) Baazaar me darbaar me zindaan may roye
Chaalis baraz
mawt ke armaan may roye
Rehan mera maula
taraptaa hi rahaa hay
Haey Shaam ka
bazaar (x2)
|
Wednesday, December 5, 2012
Haey Shaam ka bazaar Sajjad se ronay ka sabab pooch raha hay
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment