(Aey Sham keh logo mei bint e Ali hoon) x3
1. (Mei waris e tatheer hoon) x2
Namoos-e-nabi hoon
(Aey Sham keh logo mei bint e Ali hoon) x2
2. Bazaar se darbar mei leh aye ho muj ko
Chaho tou jala saktiee hoon khutboo se mei tum ko
Sabir ki behan hoon jo mei khamosh khari hoon
(Aey Sham keh logo mei bint e Ali hoon) x2
3. Afsoos kanizi mei usse mang rahey hoo
Tum jis keh ghulamo ki ghulami mei rahey hoo
Yeh zulm na ho ga kabhi mei zinda abhi hoon
(Aey Sham keh logo mei bint e Ali hoon) x2
4. Tum apney payambar ko agar dikhna chahoo
Nazey pe jo yeh sar hai issey ghour se dekhoo
Humshakal e payambar hai yeh mei is ki phupi hoon
(Aey Sham keh logo mei bint e Ali hoon) x2
5. Aur iss se kathan waqt kya hoo gaa mere mabood
Fiza keh taraf dar hai darbar mei majood
Mei pusht pe fiza keh khari dekh rahe hoon
(Aey Sham keh logo mei bint e Ali hoon) x2
6. Zehra ko bhi darbar mei tum neh tha bulaya
Darbar may mei bhi hoo magar farq hai itnaa
Pardey mei thi woh aur mei be parda kari hoon
(Aey Sham keh logo mei bint e Ali hoon) x2
7. Zanjeero mei jakra jo yeh beimaar khraa hai
Sajda isey kaabey ki faseelo neh kiya hai
Mansab mei bara woh hai mei rishtey mei bari hoon
(Aey Sham keh logo mei bint e Ali hoon) x2
8. Zinda tha tou dar dar keh hameshaa he larey hoo
Ab sar hai tou honto pe chari mar rahey hoo
Tum kitney bahaddur ho mei yeh dikh rahi hoon
(Aey Sham keh logo mei bint e Ali hoon) x2
9. Honeh lagi darbar mei mushtarka azanein
“Rehan” idhar naam e nabi gunja fizza mei
(Bibi neh kaha fakhr se) x2 (mei jeet gayi hoon) x 3
No comments:
Post a Comment