haay sakina haay maasuma
ay shimr zara kuch rehm to kha ye chhoti zehra hai maasum sakina hai ay shimr zara kuch rehm to kha naadaan hazina hai maasum sakina hai na maar ise naazon se ise shabbir ne paala hai maasum sakina hai sajjad ki behna ko ghaazi ki bhatiji ko maanga hai kanizi me us phul si bacchi ko sheh ne apne sajdon me jise allah se maanga hai maasum sakina hai dorenge agar naaqe kis tarha se sambhlegi gar raah me gir jaaye aawaaz kise degi pushte naaqa par kyun tanha rassi se baandha hai maasum sakina hai kya jurm kiya isne kyun is ko rulaata hai dikhla ke ise paani matti pe bahaata hai kya teri aulaad nahi kyun zulm ye dhaata hai maasum sakina hai rone na diya is ko baba ke laashe par hai neel tamaachon ke maasuma ke chehre par allah jaane ye is pe sitam kis baar ka badla hai maasum sakina hai ek raat sare zindaan shabbir ka sar aaya sar le kar godi me bacchi ne kiya nauha aankhein kholo baba dekho ye kaun za'ifa hai maasum sakina hai maasum ki gardan me baandhi hai rasan aise guth jaayega dam is ka mein tez chalun kaise ye kehta huwa bimaar mera kham ho kar chalta hai maasum sakina hai turbat pe sakina ki aabid ne kaha hoga ye meri amaanat hai rakhna tu khayaal iska baba bhi nahi ammu bhi nahi be aas yatima hai maasum sakina hai roze pe nazar jab bhi ay shadman jaati hai phir qalbe takallum ko ye baat rulaati hai sadiyaan guzri chhoti bibi zindaan me tanha hai maasum sakina hai na maar ise naazon se ise shabbir ne paala hai |
Wednesday, December 12, 2012
haay sakina haay maasuma
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment