chale aawo ay zawaaro chale aawo
meri aawaaz pe labbaik pukaare jaawo labbaik ya hussain naam tum sab ke mere dil pe hain likhe aawo apne maa baap ko is paak safar me laawo apne bacchon ko bhi ehraame azaa pehnaawo mere zawaaro meri karbobala aa jaawo ehd karta hun azaadaaro shifaa'at ke liye aawo zawaaro chale aawo ziyaarat ke liye chale aawo khush raho ay meri rudaa sunaane waalo apni khushion me mera sog manaane waalo saare aalam me mera farsh bichaane waalo garmi sardi me meri qabr pe aane waalo mujhko maalum hai tum logon ki haajat aawo tum pe ho jaayegi allah ki inaayat aawo chale aawo jaanibe karbobala jab koyi barhta hai qadam har qadam par mere zawaar pe hota hai karam saaya karta huwa abbas ka chalta hai qadam muntazir rehti hai zehra mere baba ki qasam mere zawaaro mere dard ke maare aawo meri maa fatema zehra ke dulaaro aawo chale aawo tum jo kehte ho abad wallah ma ninsa hussain amma zehra bhi yahi karti hain ro ro kar bain meri mazlumi pe roye hain shahe badr o honain mere baba bhi hain ab tak mere gham me be chain tum nahi bhule to mein bhi nahi bhula tum ko yaad chalte huwe khanjar me bhi rakhta aawo chale aawo tum jo lehraate ho haathon me uthaaye parcham tum ko maalum hai ho jaata hai taaza mera gham yaad aata hai mujhe khun me duba wo alam jis ke jhuk jaane se tuta mere bacchon pe sitam mere abbas ki jaagir sajaane aawo haazri roza e abbas pe khaane aawo chale aawo mere zawaaro suno ye zameen karbobala mujhse pehle to yahaan koyi bhi bas na sakaa ye zameen karbobala karb ka majmu'a hai hazrate aadam o hawwa ka yahin girya hai sher ne hazrate isaa ko yahin roka hai aur phir takhte sulaimaan yahin larza hai is zameen par ibraahim ka rahwaar dhasaa paa e musaa me lagi chot lahu behne laga zabihallah ke haivaan rahe pyaase yahaan kashtiye nooh se takraaya yahin par tufaan is zameen par to pareshaan huwa har insaan mere baba bhi yahin karte rahe aah o fugaan meri hijrat thi madine se hidaayat ke liye ye zameen maine kharidi thi shahaadat ke liye chale aawo ay zawaaro chale aawo meri aawaaz pe labbaik pukaare jaawo labbaik ya hussain do moharram ko yahaan mera rahwaar ruka saath kunba tha mera mein akela bhi na tha aawo zawaaro mere saath chalo thaam kar dil mera maqtal dekho ye maqaame ali akbar hai jahaan mere bacche pe jahaan royi azaan ye maqaame ali asghar hai jahaan aaj bhi bethi huwi roti hai maan ye jagaah wo hai mere zawaaro laashe qaasim huwi paamaal idhar do maqaamat jo aate hain nazar kate abbas ke baazu the idhar hain zaraa door jo do dil ke qaraar hain mere aun o mohammad ke mazaar asre aashur se turbat ke qareeh mera hur aur mera lashkar hai yahi aur ye tilla e zainabya hai yahi zainab ne ye manzar dekha mujh pe chalta huwa khanjar dekha mera aashur ya chehlum ho mera karbala aata hai kunba mera phir sakina jo yahaan aati hai meri turbat se lipat jaati hai ya hussain mein hun hussain abde khuda khune nabi khune ali khune hasan zehra nasab shaahe arab mein hun ataa mein hun shafaa ehle azaa roze jazaa denge tumhe lutf o karam baaghe iram mein hun hussain tum pe salaame karbala maatami tum pe salaame shohada maatami tum pe salaame sayyada maatami tum pe salaame murtaza maatami tum pe salaame mustafa maatami tum pe salaame baawafa maatami tum ho dile zainabe kubra ka chain kehte raho kehte raho ya hussain sayyadena sayyadena ya hussain |
Wednesday, December 12, 2012
chale aawo ay zawaaro
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment