Thursday, January 13, 2011

Jab Shaam Ke Zindaan Se Zainab Jo Reha Ho Gi

Jab Shaam Ke Zindaan Se Zainab Jo Reha Ho Gi
Jaye Gi Madine Jab Use Waqt Bhala Bibi Tere Sar Pe Rida Ho Gi

Nana Se Milo Gi Jab Hatoon Ko Choopao Gi
Aur Maa Ko Bazaroon Ke Halaat Sunaoo Gi
Maa Lehad Main Tarpe Gi Tere Lutne Ka Dukh Sun Ke
Aur Tujh Pe Fida Ho Gi

Beemaar Ki Aankhoon Se Phir Khoon Sa Bares Ga
Kis Jurm Main Qaidi Ho Har Koi Jo Pooche Ga
Is Ahd-E-Jawani Main Zanjeeroon Main Jhakre Ho
Abid Pe Jafa Ho Gi

Akber Sa Nagina Bhi Matti Main Jhara Ho Ga
Uljha Howa Teroon Main Shabbir Para Ho Ga
Zainab Tere Kanoon Main Masooma Sakina Ki
Rone Ki Sada Ho Gi

Masoom Sakina Ka Beemar Jo Pooche Gi
Toote Hoye Jhoole Main Asgher Ko Bhi Dhoonde Gi
Baba Hai Kahan Mere Kyoon Saath Nahi Aaye
Koi Tau Wajah Ho Gi

Khaime Main Khari Zainab Maqtal Main Para Bhai
Gurbat meisi shaab Main Ek Maut Ki Tanhai
Ujre Howe Khaimoon Main Zainab Ne Guzari Jo
Who Raat Bhi Kya Ho Gi

Makhdooma-E-Zainab Ka Akhter Yoheen Gum Likhna
Mazloom Ka Pursa Hai Aankheen Bhi Yeh Num Rakhna
Bakhsish Ke Liye Teri Mahsher Main Mohammed Ke
Hoontoon Pe Dua Ho Gi


1 comment: