Monday, January 3, 2011

Mei ik bekas pardesi hun, mei lout ke aaunga

Shahid baltistani 2004

Shaam jaate huwe, roke sajjad ne kahaa, Assalaam ai bekas baba, bekas bete ka salaam

(Assalaamun alayk, ya gharib huseina) x3

(Mei ik bekas pardesi hun, mei lout ke aaunga) x3

1. (Mei saath phuphi ke ai baba) x2 Qur'aan sunaaunga

(Mei ik bekas pardesi hun, mei lout ke aaunga) x2

2. Ho tumpe salaam mera, ai mere gharib padar, ik qaafela tha tera, ik mei bhi chala lekar (mei ibne hussein hun ay baba) x2 zaalim ko bataaunga

(Mei ik bekas pardesi hun, mei lout ke aaunga) x2

3. Teri pyaari sakina bhi, mere saath safar mei hai, har gaam pe shahzaadi, bhai ki nazar mei hai, (mei dhuup mei reh kar ai baba) x2 use saaye mei laaunga

(Mei ik bekas pardesi hun, mei lout ke aaunga) x2

4. Zainab ko bin chaadar, jab dekh na paaoge, haae noke sina se phir, quraan sunaaoge, (aawaaz mei teri ai baba) x2 aawaaz milaaunga

(Mei ik bekas pardesi hun, mei lout ke aaunga) x2

5. Ik rassi mei baba, haay baara gale honge, sab chote bare baba, ik saath bandhe honge, (mehmil se girte bachon ko) x2 sine se lagaaunga

(Mei ik bekas pardesi hun, mei lout ke aaunga) x2

6. Ham qaidi bane honge, darbaar sajaa hoga, haae tasht kalaa mei aur, sar tera rakha hoga, (us pal mei sakina ko baba) x2 kis tarha sambhaalunga

(Mei ik bekas pardesi hun, mei lout ke aaunga) x2

7. Maangega sakina ko, ik shaami kanizi mei, marjaaunga mei baba, sunkar ye aseeri mei, (zahra ki shabi ko ay baba) x2 zaalim se bachaaunga

(Mei ik bekas pardesi hun, mei lout ke aaunga) x2

8. Teri yaad mei roro kar, zindaa na basaayengi, phir mout sakina ki, ham sab ko rulaaegi, (mei us ki lahad bhi ay baba) x2 haathon se banaaunga

(Mei ik bekas pardesi hun, mei lout ke aaunga) x2

9. Paaband-e-rasan yaawar, ye qaafela jab nikla, bimaar imaam mera, karta raha ye nauha, (hai teri qasam mujko baba) x2 tera naam bachaaunga

(Mei ik bekas pardesi hun, mei lout ke aaunga) x2

No comments:

Post a Comment