Sunday, December 29, 2013

Sham Araha hai

saadaat be-rida hai abid ka sar jhuka hai
sham aa raha hai
saara lahoo badan ka aankhon may aagaya hai
sham aa raha hai

bhai ka sar jahan tha bibi wahan pe aayi
boli ye sar jhuka ke karna duayein bhai
zainab ki karbala ka aaghaz ho raha hai
sham aa raha hai....

ummat khadi hui hai jholi may le ke pathar
zanjeer keh rahi hai chalna sambhal sambhal kar
ehle haram ka maqtal kuch duur reh gaya hai
sham aa raha hai....

naize pe sar jawan ka dekha to maa ye boli
akbar ye iltija hai tujse ghareeb maa ki
chadar kaheen se la de zainab ka sar khula hai
sham aa raha hai....

ailaan ho raha hai jaldi bulaya jaaye
zahra ki betiyon ko paidal chalaya jaaye
koofay ki manzilon se ye sakht marhala hai
sham aa raha hai....

zainab ne jab ye poocha ye kaunsi hai basti
sajjad mere dil par lagti hai gham ki barchi
haye dabi zuban se beemar ne kaha hai
sham aa raha hai....

ye fazl se ruqayya kehti hai ay bhateeje
zainab ki mai hoo zaamin baqir tere hawale
dono ne kaam apna taqseem kar liya hai
sham aa raha hai....

zainab ke gird behne parda bana rahi hai
khud be-rida hai lekin usko chupa rahi hai
akbar sitamgaron ne ailaan kar diya hai
sham aa raha hai....

Sunday, July 28, 2013

Yeh janaza hai Ali ka

Yeh Janaza Hai Ali Ka
Haaye Ali Maula x2
Yeh Janaza hai ali ka x2
Yeh Janaza Hai Ali ka, Shah-e-Khayber Geer ka, Yeh janaza hai Ali Ka x3
Aaj baba margaya hai, Shabbar o Shabbir ka
Yeh janaza hai Ali ka
Yeh janaza hai Ali ka shah e khayber geer ka
Yeh janaza hai Ali ka
Fatima Zehra ke marqad se sada anay lagi x2 Haye sada anay lagi
Yeh Masayib reh gaya tha, kya meri taqdeer ka
Yeh janaza hai Ali ka
Yeh janaza hai Ali ka shah e khayber geer ka
Ya Rasool Allaha ye Jibreel ne rokar kaha x2 Haye ye rokar kaha
Aik halqa aur toota, noor ki zanjeer ka
Yeh janaza hai Ali ka
Yeh janaza hai Ali ka, Shah e khayber geer ka
Yeh janaza hai Ali ka
Kyun chalayi tegh Haider par bin e muljim bata x2 Ay bin e muljim bata
Qatl quran kar diya kaata gala
Yeh janaza hai Ali ka
Yeh janaza hai Ali ka shah e khayber geer ka
Yeh janaza hai Ali ka
Ghum Ali ki betiyon ka phir se taza hogaya x2 Haaye taza hogaye
Ghum abhi bhooli kahan theen, Madare dilgeer ka
Yeh Janaza hai Ali ka
Yeh janaza hai Ali ka shah e khaber geer ka
Yeh janaza hai Ali ka
Nazron main janay Ali ko, Kya khayal ata raha x2 Haye khayal ata raha
Mun kabhi Zainab ne dekha, Aur kabhi Shabbir ka
Yeh janaza hai Ali ka
Yeh janaza hai Ali ka shah e khayber geer ka
Yeh janaza hai Ali ka
Betiyoon ko dekhti hain aur rote hain Ali x2 Haaye rote hain Ali
Haaye wo zaalim tasawwur shaam ki tash’eer ka
Yeh janaza hai Ali ka
Yeh janaza hai Ali ka shah e khayber geer ka
Yeh janaza hai Ali ka
Chote se Abbas bhi rote hain sar ko peet kar x2 Haaye sar ko peet kar
Bachpana Abbas ka aur Zakhm dil par teer gaya
Yeh janaza hai Ali ka
Yeh janaza hai Ali ka shah e khayber geer ka
Yeh janaza hai Ali ka
Baap ki mayyat se Zainab ka lipatna baar baar x2 Haaye lipatna baar baar
Dil hila deta tha rona shah ki humsheer ka ka
Yeh janaza hai Ali ka
Yeh janaza hai Ali ka shah e khayber geer ka
Yeh janaza hai Ali ka 

Kabe mei aney wala masjid mei chalbasa hai



Wednesday, December 12, 2012

chale aawo ay zawaaro



chale aawo ay zawaaro chale aawo
meri aawaaz pe labbaik pukaare jaawo
labbaik ya hussain

naam tum sab ke mere dil pe hain likhe aawo
apne maa baap ko is paak safar me laawo
apne bacchon ko bhi ehraame azaa pehnaawo
mere zawaaro meri karbobala aa jaawo
ehd karta hun azaadaaro shifaa'at ke liye
aawo zawaaro chale aawo ziyaarat ke liye
chale aawo

khush raho ay meri rudaa sunaane waalo
apni khushion me mera sog manaane waalo
saare aalam me mera farsh bichaane waalo
garmi sardi me meri qabr pe aane waalo
mujhko maalum hai tum logon ki haajat aawo
tum pe ho jaayegi allah ki inaayat aawo
chale aawo

jaanibe karbobala jab koyi barhta hai qadam
har qadam par mere zawaar pe hota hai karam
saaya karta huwa abbas ka chalta hai qadam
muntazir rehti hai zehra mere baba ki qasam
mere zawaaro mere dard ke maare aawo
meri maa fatema zehra ke dulaaro aawo
chale aawo

tum jo kehte ho abad wallah ma ninsa hussain
amma zehra bhi yahi karti hain ro ro kar bain
meri mazlumi pe roye hain shahe badr o honain
mere baba bhi hain ab tak mere gham me be chain
tum nahi bhule to mein bhi nahi bhula tum ko
yaad chalte huwe khanjar me bhi rakhta aawo
chale aawo

tum jo lehraate ho haathon me uthaaye parcham
tum ko maalum hai ho jaata hai taaza mera gham
yaad aata hai mujhe khun me duba wo alam
jis ke jhuk jaane se tuta mere bacchon pe sitam
mere abbas ki jaagir sajaane aawo
haazri roza e abbas pe khaane aawo
chale aawo

mere zawaaro suno ye zameen karbobala
mujhse pehle to yahaan koyi bhi bas na sakaa
ye zameen karbobala karb ka majmu'a hai
hazrate aadam o hawwa ka yahin girya hai
sher ne hazrate isaa ko yahin roka hai
aur phir takhte sulaimaan yahin larza hai
is zameen par ibraahim ka rahwaar dhasaa
paa e musaa me lagi chot lahu behne laga
zabihallah ke haivaan rahe pyaase yahaan
kashtiye nooh se takraaya yahin par tufaan
is zameen par to pareshaan huwa har insaan
mere baba bhi yahin karte rahe aah o fugaan
meri hijrat thi madine se hidaayat ke liye
ye zameen maine kharidi thi shahaadat ke liye

chale aawo ay zawaaro chale aawo
meri aawaaz pe labbaik pukaare jaawo
labbaik ya hussain

do moharram ko yahaan mera rahwaar ruka
saath kunba tha mera mein akela bhi na tha
aawo zawaaro mere saath chalo
thaam kar dil mera maqtal dekho
ye maqaame ali akbar hai jahaan
mere bacche pe jahaan royi azaan
ye maqaame ali asghar hai jahaan
aaj bhi bethi huwi roti hai maan
ye jagaah wo hai mere zawaaro
laashe qaasim huwi paamaal idhar
do maqaamat jo aate hain nazar
kate abbas ke baazu the idhar
hain zaraa door jo do dil ke qaraar
hain mere aun o mohammad ke mazaar
asre aashur se turbat ke qareeh
mera hur aur mera lashkar hai yahi
aur ye tilla e zainabya hai
yahi zainab ne ye manzar dekha
mujh pe chalta huwa khanjar dekha
mera aashur ya chehlum ho mera
karbala aata hai kunba mera
phir sakina jo yahaan aati hai
meri turbat se lipat jaati hai

ya hussain

mein hun hussain
abde khuda
khune nabi
khune ali
khune hasan
zehra nasab
shaahe arab
mein hun ataa
mein hun shafaa
ehle azaa
roze jazaa
denge tumhe
lutf o karam
baaghe iram
mein hun hussain
tum pe salaame karbala maatami
tum pe salaame shohada maatami
tum pe salaame sayyada maatami
tum pe salaame murtaza maatami
tum pe salaame mustafa maatami
tum pe salaame baawafa maatami
tum ho dile zainabe kubra ka chain
kehte raho kehte raho ya hussain
sayyadena sayyadena ya hussain

haay sakina haay maasuma



haay sakina haay maasuma

ay shimr zara kuch rehm to kha
ye chhoti zehra hai maasum sakina hai
ay shimr zara kuch rehm to kha
naadaan hazina hai maasum sakina hai

na maar ise naazon se ise
shabbir ne paala hai maasum sakina hai

sajjad ki behna ko ghaazi ki bhatiji ko
maanga hai kanizi me us phul si bacchi ko
sheh ne apne sajdon me jise allah se maanga hai
maasum sakina hai

dorenge agar naaqe kis tarha se sambhlegi
gar raah me gir jaaye aawaaz kise degi
pushte naaqa par kyun tanha rassi se baandha hai
maasum sakina hai

kya jurm kiya isne kyun is ko rulaata hai
dikhla ke ise paani matti pe bahaata hai
kya teri aulaad nahi kyun zulm ye dhaata hai
maasum sakina hai

rone na diya is ko baba ke laashe par
hai neel tamaachon ke maasuma ke chehre par
allah jaane ye is pe sitam kis baar ka badla hai
maasum sakina hai

ek raat sare zindaan shabbir ka sar aaya
sar le kar godi me bacchi ne kiya nauha
aankhein kholo baba dekho ye kaun za'ifa hai
maasum sakina hai

maasum ki gardan me baandhi hai rasan aise
guth jaayega dam is ka mein tez chalun kaise
ye kehta huwa bimaar mera kham ho kar chalta hai
maasum sakina hai

turbat pe sakina ki aabid ne kaha hoga
ye meri amaanat hai rakhna tu khayaal iska
baba bhi nahi ammu bhi nahi be aas yatima hai
maasum sakina hai

roze pe nazar jab bhi ay shadman jaati hai
phir qalbe takallum ko ye baat rulaati hai
sadiyaan guzri chhoti bibi zindaan me tanha hai
maasum sakina hai

na maar ise naazon se ise
shabbir ne paala hai

Ana Ali ibne Hussain Ibne Ali)

Ya ali
ay se aae ali akbar sare maydaan e vega, jaise badli se naya chaand namudaar hua, jaise tasweer e mohd se utha ho parda jaise haider ki jawaani ka chalan jalwanuma. Yak ba yak salle ala naara e akbar gunja ana ali yabnal husain yabna ali, nahnu 
wa baitillah auladin-nabi, zarbe ghulaame hashmi al alwiana, ali yabnal husain nabna ali
Nahnu wa baitillah aulaadin-nabi
Ama tarau laa qaifa ami a
n abi,
Wallah la yaa kum fi nabna dagi,
Hazrabe tum fisseb ahme an abi, zarbe ghulaame hashmi al alwi, ana ali.....


(1)Naam akbar ali akbar hai mera,
Mai husain ibne ali ka beta.
khaa raha hun kasam e baitillah....2
Hum ko haasil sharaf e khoon e nabi.
ana ali......



(2)Badnasab hum pe hukumat karta,
na hua hai na kabhi ho sakta
wallah wallah aba abdilla ...2
Mai fida tumpe husain ibne ali
Ana ali .....


(3)Shaamiyon ab mera hamla dekho,
Zarbate sayyade wala dekho.
meri talwaar ka chalna....2
Zarbate hashmi zarbe alwi
Ana ali......


(4)Ana ali yabnal husain nabna ali
Kahke ye yeh fauj may duba wo shujaae azali , naara zanja ke ana ibne husain ibne ali , teer chalne lagi naize chale talwaar chali, bad ke shamsheere do dum se safe kuffar chali, kis tarah lsdhta hai hum shakle payambar dekho, aaj shamsheer e husaini ke johar dekho


Ana ali yabnal husain nabna ali


Palte maidaan se vega karte hue,
Aake baba se yeh akbar bole.
thoda pani mere baba jo mile....2
Dekhna phir se meri tegzani
Ana ali....


(5)Bole sheh sukhi zabaan dikhla kar,
Muh me rakhlo yeh anguthi akbar.
Aysa sharbat tumhe denge haider....2
Jisko pikar tumhe kehna hai yehi,
Ana ali.....


(6)Run me jaakar wo bohot der ladhe,
Chaar janib se udu tut padhe.
Naubate bajne lagi jab wo gire ....2
Ek sada gunji aba adrikni.
Ana ali......


(7)Sun ke aawaz e pisar sheh daudhe,
Khayi thokar kabhi girkar sambhle.
Ghutniyo chalte hue jab pahunche....2
Ali akbar ki ye aawaz suni
Ana ali......
Kya kare ab tera baba jee kar, khaak duniya hai tere baad akbar.
Nauha jaari tha Rehaan o sarwar....2
Run me roti thi sadae zakhmi
Ana ali yabnal husain nabna ali.

Wednesday, December 5, 2012

Haey Shaam ka bazaar Sajjad se ronay ka sabab pooch raha hay



Haey Shaam ka bazaar
Haey Shaam ka bazaar (x4)

Sajjad se ronay ka sabab pooch raha hay
Haey Shaam ka bazaar (x2)

Jo Shaam me guzri hay woh sab pooch raha hay
Haey Shaam ka bazaar (x2)

1) Woh lakho tamashai be parda phuphee behne
   Aise na lahu roye beemar ki phir aakhen
   Is gham ki aziyyat ne use maar diya hay
   Haey Shaam ka bazaar (x2)

2) Kis tarah qarar aaye beemaar ko aey logo
   Sar naizon pe pairon ke aate hain nazar jisko
   Yeh musafir ki yeh kaisi sazaa hai
   Haey Shaam ka bazaar (x2)

3) Aakhon se hay khun jaari aur khar hay beemari
   Zanjeer hay pairon me aur tawk bhi hay bhaari
   Jalti hai zamin saari aur garm hawaa hay
   Haey Shaam ka bazaar (x2)

4) Jaagir nahi maangi zanjeer nahi badli
   Saaye me nahi baitha poshaak nahi badli
   Maa behno ki khaatir woh rida maang raha hay
   Haey Shaam ka bazaar (x2)

5) Zindaan ke masaaeb bhi har waqt rulaate hain
   Mar jaye na Zainab ye kahi shoch raha hai
   Haey Shaam ka bazaar (x2)

6) Zindaan se reha hoke bhi zindaan me hain Sajjad
   Ek nanhi si turbat karti hay faryaad
   Mar kar bhi rahun qaid may kya meri khataa hay
   Haey Shaam ka bazaar (x2)

7) Yeh zakhm bhi Sajjad ko jeenay nahi deta
   Zakhmon se Sakina ke jo chipkaa raha kurtaa
   Woh khun bharaa kurta hi kafan us ka banaa hai
   Haey Shaam ka bazaar (x2)

8) Baazaar me darbaar me zindaan may roye
   Chaalis baraz mawt ke armaan may roye
   Rehan mera maula taraptaa hi rahaa hay
   Haey Shaam ka bazaar (x2)