Wednesday, December 12, 2012

haay sakina haay maasuma



haay sakina haay maasuma

ay shimr zara kuch rehm to kha
ye chhoti zehra hai maasum sakina hai
ay shimr zara kuch rehm to kha
naadaan hazina hai maasum sakina hai

na maar ise naazon se ise
shabbir ne paala hai maasum sakina hai

sajjad ki behna ko ghaazi ki bhatiji ko
maanga hai kanizi me us phul si bacchi ko
sheh ne apne sajdon me jise allah se maanga hai
maasum sakina hai

dorenge agar naaqe kis tarha se sambhlegi
gar raah me gir jaaye aawaaz kise degi
pushte naaqa par kyun tanha rassi se baandha hai
maasum sakina hai

kya jurm kiya isne kyun is ko rulaata hai
dikhla ke ise paani matti pe bahaata hai
kya teri aulaad nahi kyun zulm ye dhaata hai
maasum sakina hai

rone na diya is ko baba ke laashe par
hai neel tamaachon ke maasuma ke chehre par
allah jaane ye is pe sitam kis baar ka badla hai
maasum sakina hai

ek raat sare zindaan shabbir ka sar aaya
sar le kar godi me bacchi ne kiya nauha
aankhein kholo baba dekho ye kaun za'ifa hai
maasum sakina hai

maasum ki gardan me baandhi hai rasan aise
guth jaayega dam is ka mein tez chalun kaise
ye kehta huwa bimaar mera kham ho kar chalta hai
maasum sakina hai

turbat pe sakina ki aabid ne kaha hoga
ye meri amaanat hai rakhna tu khayaal iska
baba bhi nahi ammu bhi nahi be aas yatima hai
maasum sakina hai

roze pe nazar jab bhi ay shadman jaati hai
phir qalbe takallum ko ye baat rulaati hai
sadiyaan guzri chhoti bibi zindaan me tanha hai
maasum sakina hai

na maar ise naazon se ise
shabbir ne paala hai

No comments:

Post a Comment