Wednesday, December 5, 2012

Haey Shaam ka bazaar Sajjad se ronay ka sabab pooch raha hay



Haey Shaam ka bazaar
Haey Shaam ka bazaar (x4)

Sajjad se ronay ka sabab pooch raha hay
Haey Shaam ka bazaar (x2)

Jo Shaam me guzri hay woh sab pooch raha hay
Haey Shaam ka bazaar (x2)

1) Woh lakho tamashai be parda phuphee behne
   Aise na lahu roye beemar ki phir aakhen
   Is gham ki aziyyat ne use maar diya hay
   Haey Shaam ka bazaar (x2)

2) Kis tarah qarar aaye beemaar ko aey logo
   Sar naizon pe pairon ke aate hain nazar jisko
   Yeh musafir ki yeh kaisi sazaa hai
   Haey Shaam ka bazaar (x2)

3) Aakhon se hay khun jaari aur khar hay beemari
   Zanjeer hay pairon me aur tawk bhi hay bhaari
   Jalti hai zamin saari aur garm hawaa hay
   Haey Shaam ka bazaar (x2)

4) Jaagir nahi maangi zanjeer nahi badli
   Saaye me nahi baitha poshaak nahi badli
   Maa behno ki khaatir woh rida maang raha hay
   Haey Shaam ka bazaar (x2)

5) Zindaan ke masaaeb bhi har waqt rulaate hain
   Mar jaye na Zainab ye kahi shoch raha hai
   Haey Shaam ka bazaar (x2)

6) Zindaan se reha hoke bhi zindaan me hain Sajjad
   Ek nanhi si turbat karti hay faryaad
   Mar kar bhi rahun qaid may kya meri khataa hay
   Haey Shaam ka bazaar (x2)

7) Yeh zakhm bhi Sajjad ko jeenay nahi deta
   Zakhmon se Sakina ke jo chipkaa raha kurtaa
   Woh khun bharaa kurta hi kafan us ka banaa hai
   Haey Shaam ka bazaar (x2)

8) Baazaar me darbaar me zindaan may roye
   Chaalis baraz mawt ke armaan may roye
   Rehan mera maula taraptaa hi rahaa hay
   Haey Shaam ka bazaar (x2)

No comments:

Post a Comment