Wednesday, December 12, 2012

chale aawo ay zawaaro



chale aawo ay zawaaro chale aawo
meri aawaaz pe labbaik pukaare jaawo
labbaik ya hussain

naam tum sab ke mere dil pe hain likhe aawo
apne maa baap ko is paak safar me laawo
apne bacchon ko bhi ehraame azaa pehnaawo
mere zawaaro meri karbobala aa jaawo
ehd karta hun azaadaaro shifaa'at ke liye
aawo zawaaro chale aawo ziyaarat ke liye
chale aawo

khush raho ay meri rudaa sunaane waalo
apni khushion me mera sog manaane waalo
saare aalam me mera farsh bichaane waalo
garmi sardi me meri qabr pe aane waalo
mujhko maalum hai tum logon ki haajat aawo
tum pe ho jaayegi allah ki inaayat aawo
chale aawo

jaanibe karbobala jab koyi barhta hai qadam
har qadam par mere zawaar pe hota hai karam
saaya karta huwa abbas ka chalta hai qadam
muntazir rehti hai zehra mere baba ki qasam
mere zawaaro mere dard ke maare aawo
meri maa fatema zehra ke dulaaro aawo
chale aawo

tum jo kehte ho abad wallah ma ninsa hussain
amma zehra bhi yahi karti hain ro ro kar bain
meri mazlumi pe roye hain shahe badr o honain
mere baba bhi hain ab tak mere gham me be chain
tum nahi bhule to mein bhi nahi bhula tum ko
yaad chalte huwe khanjar me bhi rakhta aawo
chale aawo

tum jo lehraate ho haathon me uthaaye parcham
tum ko maalum hai ho jaata hai taaza mera gham
yaad aata hai mujhe khun me duba wo alam
jis ke jhuk jaane se tuta mere bacchon pe sitam
mere abbas ki jaagir sajaane aawo
haazri roza e abbas pe khaane aawo
chale aawo

mere zawaaro suno ye zameen karbobala
mujhse pehle to yahaan koyi bhi bas na sakaa
ye zameen karbobala karb ka majmu'a hai
hazrate aadam o hawwa ka yahin girya hai
sher ne hazrate isaa ko yahin roka hai
aur phir takhte sulaimaan yahin larza hai
is zameen par ibraahim ka rahwaar dhasaa
paa e musaa me lagi chot lahu behne laga
zabihallah ke haivaan rahe pyaase yahaan
kashtiye nooh se takraaya yahin par tufaan
is zameen par to pareshaan huwa har insaan
mere baba bhi yahin karte rahe aah o fugaan
meri hijrat thi madine se hidaayat ke liye
ye zameen maine kharidi thi shahaadat ke liye

chale aawo ay zawaaro chale aawo
meri aawaaz pe labbaik pukaare jaawo
labbaik ya hussain

do moharram ko yahaan mera rahwaar ruka
saath kunba tha mera mein akela bhi na tha
aawo zawaaro mere saath chalo
thaam kar dil mera maqtal dekho
ye maqaame ali akbar hai jahaan
mere bacche pe jahaan royi azaan
ye maqaame ali asghar hai jahaan
aaj bhi bethi huwi roti hai maan
ye jagaah wo hai mere zawaaro
laashe qaasim huwi paamaal idhar
do maqaamat jo aate hain nazar
kate abbas ke baazu the idhar
hain zaraa door jo do dil ke qaraar
hain mere aun o mohammad ke mazaar
asre aashur se turbat ke qareeh
mera hur aur mera lashkar hai yahi
aur ye tilla e zainabya hai
yahi zainab ne ye manzar dekha
mujh pe chalta huwa khanjar dekha
mera aashur ya chehlum ho mera
karbala aata hai kunba mera
phir sakina jo yahaan aati hai
meri turbat se lipat jaati hai

ya hussain

mein hun hussain
abde khuda
khune nabi
khune ali
khune hasan
zehra nasab
shaahe arab
mein hun ataa
mein hun shafaa
ehle azaa
roze jazaa
denge tumhe
lutf o karam
baaghe iram
mein hun hussain
tum pe salaame karbala maatami
tum pe salaame shohada maatami
tum pe salaame sayyada maatami
tum pe salaame murtaza maatami
tum pe salaame mustafa maatami
tum pe salaame baawafa maatami
tum ho dile zainabe kubra ka chain
kehte raho kehte raho ya hussain
sayyadena sayyadena ya hussain

No comments:

Post a Comment