Thursday, December 30, 2010

Bazar shaam aa gaya

Bazar e shaam aa gaya

Akbar a.s mere jawan kis ko bulaye Maa
Bazar e Shaam Aa gaya

1)Zainab a.s ki lo khabar Abid a.s hai Natawan
Bazar Shaam aa gaya

2)Dasht e Bala ko chor kar khak e shifa ko orh kar
aye fakhr e kibriya suno kahti hoon haath jorh kar
kaisay chalay gi maa aye mere nojawan
Bazar e shaam aa gaya

3)Qismat ki pasban hai woh khair un nisan a.s ki jaan hai woh
Ghurbat ki inteha huee ghairon kay dermiyan hai woh
Shahzadi e Jinnah sahti hai sakhtiyan
Bazar e Shaam aa gaya

4)Qatil tera mere pisar Sajjad a.s ka hai humsafar
Gham tou yehi hai yeh sitam sahta raha hai woh magar
kaisay sahay bhala beemar sarban
Bazar Shaam aa gaya

5)Mehnay suni hai yeh sada kahtay hain shaam mein sab hi
badla Ali a.s ka lay gaye hum binte Ali a.s say aaj hi
Pather say hain bhari logon ki jholiyan
Bazar Shaam aa gaya

6)Na Mahramon ki bheer mein uth ti nahi nazar meri
Abbas ki kasam nahi tashna labi ka gham koi
dukh hai yeh bay rida sahmi hain bibiyan
Bazar Shaam aa gaya

7)Pala hai jis nay umar bher Akbar a.s tujhay hijab mein
Ghazi a.s kay samnay bhi woh beta rahi niqab mein
Ghairon mein bay rida jati hai Al Amaan
Bazar Shaam aa gaya

8)Nok e sina ko dekh kar dawar yeh kah rahi thi maa
aa dekh tu bhi nojawan madar ka apni imtehan
aankhain na bandh kar ghairat say aasman
Bazar shaam aa gaya

No comments:

Post a Comment