Saturday, December 25, 2010

Baba Teray Ghum Main Yeh Baichain Sakina Hai

Baba teray ghum main yeh baichain Sakina hai.

Zindaan kai andherai main mushkil mera jeena hai.

1) Din raat main roti hun aur khaaq pai soti hun
Aghosh hai maadar ki na baap ka seena hai.

2) Dafna kai Sakina ko Abid nai kaha ro ker
Ehsaas tujai sompa Zahra ka nageena hai.

3) Main ro bhi nahi sakti zindaan main tumhai baba
Paband mujhai karta ronai sai kameena hai.

4) Hai kaan merai zakhmi aur neel tamachon kai
Zalim kai tamachon sai bai-haal Sakina hai.

5) Abid nai kaha ro ker Zainab sai puphi amma
Haar zulm-o-sitam sehna is ghar ka kareena hai.

6) Kartai hain bapa matam dunya main shah-e-zeeshan
Momin kai liyai irfaan bakshish ka saveena hai.

No comments:

Post a Comment