Saturday, December 25, 2010

Woh Dekho Pani Aaraha Hai

dekho alam hai dariya se aata
ab na rahe ga koi bhi pyaasa
parcham hawa main lehra-raha hai
wo dekho pani aaraha hai

......wo dekho pani aaraha hai
boli sakina(a.s) nazdeekh aao
ae pyaase bachon kuze uthhao
baba chacha ko ghar laraha hai
......wo dekho pani aaraha hai

jo sab se chota ghar main hai bachcha
pehle usie ko pani mile gaa
asghar hai pyaasa ghabra-raha hai
......wo dekho pani aaraha hai

ji bhar ke tum sub pani ko peena
aakhir main sub se bali sakina(a.s)
pani piye gi waada raha hai
......wo dekho pani aaraha hai

halqa bana lo kuze uthha lo
so sogae hain un ko jaga lo
khud chal ke dariya ab aara-raha hai
......wo dekho pani aaraha hai

kehte thhe aada pani na dain ge
khush ho ke ab hum pani piyenge
lashkar-e-yazeedi sharmaraha hai
......wo dekho pani aaraha hai

dekho zamein par girne na pai
pani chacha hain mehnat se laai
waqt-e-musibat ab ja raha hai
......wo dekho pani aaraha hai

naade-Ali ko mashq-o-alam par
dum karti rehti thhi mae jo aksar
uskaa asar ab rang laraha hai
......wo dekho pani aaraha hai

pani sakina(a.s) tum sub ko dena
baba se lekar mashkiza apna
ghazi ka beta samjha raha hai
......wo dekho pani aaraha hai

aaya alam to boli sakin(a.s)
aey pyaase bachaon mushkil hai jeena
mera ye kehna rulwa raha hai
......wo dekho pani aaraha hai

pani kahan ka ab pyaas kaisi
umeed kaisi ab aas kaisi
mujhko ye jumlaa sharma-raha hai
......wo dekho pani aaraha hai

rehan kaise likhhun wo manzar
bachon se kehte thhe jab situmgar
ab bolo ghazi ghar araha hai
......wo dekho pani aaraha hai

8 comments: