Saturday, December 25, 2010

Fizza Teri Wafa Ki, Had Akhari Yehi Hai

Fizza Teri Wafa Ki, Had Akhari Yehi Hai
Zainab Kai Saath Tu Bhi, Bazaar Main Khari Hai

1) Tu nai to Syedon' ka abaad ghar bhi dekha
Aur kis terha huwa woh, barbaad ghar bhi dekha
Kis nai kissay sataya, tu khoob jaanati hai

2) Jab Hassan ka janaaza, wapis hai ghar main aaya
Farwa kai saath ro ker, Qasim gallay lagaya
Laash-e-Hassan sai tu bhi, rahi teer khainchati hai

3) Baandhi huwi rasan main', Zainab jo shaam aayee
Teri kamar kai peechay, chupti thi Zahra jayee
Har mor pai dilaasay, Zainab ko dai rahi hai

4) Yasrab ki taraf dekhai, ro ro kai Zahra jaaye
Teri betiyon' pai nana, kaisee qayamat aayee
Fizza kai bhi hain' waaris, yahan mera na koyee hai

5) Jab roti thi Sakina, har baar chup karaya
Aur ghash sai paak Aabid, ko tu nai bhi jagaya
Zainab kai saath jhirkain', Fizza bhi kha rahi hai

6) Aal-e-Nabi pai gham ki, bunyaad hai Saqifa
Din raat ab Hassan to, apna yehi wazeefa
Jisnay inhay rulaya, woh shaks lanati hai

No comments:

Post a Comment